Friday, 30 November 2012

Someone Somewhere



Album Name:Someone Somewhere
Release Year:1990
Company:HMV
Genre:Non Film
Songs:

  1. Aadmi Aadmi Ko Kya Dega
  2. Ab Ke Barsat Ki Rut
  3. Dekha To Mera Saya Bhi
  4. Dil Hi To Hai
  5. Din Guzar Gaya
  6. Fasila To Hai Magar
  7. Koi Samjhega Kya Raz-e-gulshan
  8. Mere Dukh Ki Koi Dava
  9. Meri Zindagi Kisi Aur Ki

Cover Page:         
                    Someone Somewhere


  1. Aadmi Aadmi Ko Kya Degaa
    Jo Bhi Dega Wohi Khuda DegaMera Qaatil Hi Mera Munsib Hai
    Kya Mere Haq Mein Faisla DegaZindagi Ko Kareeb Se Dekho
    Iska Chehra Tumhe Rulaa Dega

    Hamse Pucho Dosthi Ka Silaa
    Dushmanon Ka Bhi Dil Hilaa Dega

    Ishq Ka Zehar Pee Liya 'faakir'
    Ab Maseeha Bhi Kya Dawa Dega
  1. Ab Ke Barsaat Ki Ruth Aur Bhi Bhadkili Hai
    Jishm Se Aag Nikalti Hai, Kaban Gili HaiSonchta Hoon Ke Ab Anjaam-e-safar Kya Hoga
    Log Bhi Kaanch Ke Hain, Raah Bhi Pathrili HaiPehle Rag-rag Se Meri Khoon Nichoda Us'sne
    Ab Ye Kehtha Hai Ke Rangat Hi Meri Peelee Hai

    Mujhko Be-rang Hi Na Karde Kahin Rang Itne
    Sabz Mausam Hai, Hawa Surkh, Fizaan Gili Hai
  1. Dekha To Mera Saaya Bhi Mujhse Juda Mila
    Socha To Har Kisi Se Mera Sil-sila MilaSehar-e-wafa Mein Ab Kise Ehl'-e-wafa Kahen
    Humse Gale Mila To Wo Hi Be-wafa MilaFurshat Kise Thi Jo Meri Haalaath Poochchta
    Har Shakhs Apne Baare Mein Kuch Sonchtha Mila

    Ussne To Khair Apno Se Moda That Mooh Haya
    Maine Ye Kya Kiya Ke Main Gairon Se Jaa Mila
  1. Dil Hii To Hai Na Sa.ng-o-khisht Dard Se Bhar Na Aaye Kyuu.n
    Roe.nge Ham Hazaar Baar Koii Hame.n Sataaye Kyuu.n[sa.ng=stone, Khisht=brick]Dair Nahii.n Haram Nahii.n Dar Nahii.n Aastaa.n Nahii.n
    Baithe Hai.n Rahaguzar Pe Ham Gair Hame.n Uthaaye Kyuu.n

    [dair=temple, Haram=mosque, Dar=gate, Aastaa.n=doorstep]

    Qaid-e-hayaat-o-band-e-gam Asl Me.n Dono.n Ek Hai.n
    Maut Se Pahale Aadamii Gam Se Najaat Paaye Kyuu.n

    [qaid-e-hayaat=prison Of Life; Band-e-gam=bindings/chains Of Sorrow; Najaat=freedom/liberation]

    Haa.n Vo Nahii.n Khudaaparast, Jaao Vo Bevafaa Sahii
    Jisako Ho Diin-o-dil Aziiz, Usakii Galii Me.n Jaaye Kyuu.n

    [khudaaparast=follower Of Khuda=muslim; Diin-o-dil =religion/faith And Heart; Aziiz=dear]

    "ghalib"-e-khastaa Ke Bagair Kaun Se Kaam Band Hai.n
    Roiie Zaar-zaar Kyaa, Kiijie Haaye-haaye Kyuu.n

    [khastaa=wretched/durdashaa-grast; Zaar-zaar=bitterly/phuut-phuut Kar]

  1. Din Guzar Gaya, Ai'thbaar Mein
    Raat Kat Gayi Intezaar MeinWo Maza Kahan Basle Yaat Mein
    Lutf Jo Milaa Intezaar MeinUnki Ik Nazar Kaam Kar Gayi
    Hosh Ab Kahan Hoshiyar Mein

    Mere Kabze Mein Aaiyeena To Hai
    Main Hoon Aapke Ikhtiyaar Mein

    Aankh To Uthee Phool Ki Taraf
    Dil Ulazh Gaya Husn-haar Mein

    Tumse Kya Kahen, Kitne Gam Sahen
    Hamne Be-wafa Tere Pyaar Mein

    Fikr-e-aashiyaan Har Khizaam Ki
    Aashiyaan Jalaa Har Bahaar Mein

    Kis Tarah Ye Gham Bhool Jaaye Hum
    Wo Juda Hua Ishtihaar Mein

  1. Faasila To Hai Magar, Koi Faasila Nahin
    Mujhse Tum Juda Sahi, Dil Se To Juda NahinAasmaan Ki Fiqr Kya, Aasmaan Khafaa Sahee
    Aap Ye Bataaye'e Aap To Khafa NahinKashtiyaan Nahin To Kya, Hausle To Paas Hain
    Keh Do Na-khudaaon Se, Tum Koi Khuda Nahin

    Lijiye Bula Liya, Aapko Khayaalon Mein
    Ab To Dekhiye Hamen, Koi Dekhta Nahin

    Aaeeye Charaag-e-dil, Aaj Hi Jalaayen Hum
    Kaisi Kal Hawa Chali, Koi Jaanta Nahin
  1. Koi Samjhega Kya Raz-e-gulshan
    Jab Taq Uljhe Na Kaanton Se DaamanYaq-ba-yaq Saamne Aana Jaana
    Ruk Na Jaaye Kahin Dil Ki DhadkanGul To Gul-zaar Taq Chun Liye Hain
    Fir Bhi Khaali Hai Khurchi Ka Daaman

    Kitni Aara'ishyen Aashiyaana
    Toot Jaaye Na Nasha Fir Nashe Mein

    Hashmaten Aashiyaana Bana Dee
    Barf Ko Dosth Samjhoon Ke Dushman
  1. Mere Dukh Ki Koi Dawa Na Karo
    Mujhko Mujhse Abhi Juda Na KaroNa-khuda Ko Khuda Kaha Hai To Fir
    Doob Jaao Khuda-khuda Na KaroYe Sikhaya Hai Dosthi Ne Hame
    Dosth Bankar Kabhi Wafa Na Karo

    Ishq Hai Ishq Ye Mazaq Nahin
    Chand Lamhon Mein Faishlaa Na Karo

    Aashiqi Ho Ke Bandagi 'faakir'
    Be-dili Se To Ye Fida Na Karo
  1. Meri Zindagi Kisi Aur Ki, Mere Naam Ka Koi Aur Hai
    Mera Naqsh Hai Sar-e-aayina, Pase Aayina Koi Aur HaiMeri Dhadkanon Mein Hai Chaapsi, Ye Judaaee Bhi Hai Milaapsee
    Mujhe Kya Patha, Mere Dil Batha, Mere Saath Kya Koi Aur HaiNa Gaye Dino Ko Khabar Meri, Na Shareeke Haal Nazar Teri
    Tere Desh Mein, Mere Bhesh Mein, Koi Aur Tha, Koi Aur Hai

    Wo Meri Taraf Nigraan Rahe, Mera Dhyaan Jaane Kahan Rahe
    Meri Aankh Mein Kai Sooraten, Mujhe Chaahta Koi Aur Hai

Saath Saath


Album Name:Saath Saath
Release Year:1981
Company:HMV
Genre:Film
Songs:

  • Pyar Mujh Se Jo Kiya Tumne
  • Tum Ko Dekha To Yeh Khayal Aaya
  • Yeh Bata De Mujhe Zindagi
  • Yeh Tera Ghar Yeh Mera Ghar
  • Yun Zindagi Ki Raah Mein

Cover Page:




  1. Pyar Mujh Se Jo Kiyaa Tumne To Kya Paaogi
    Mere Haalaat Ki Aandhi Mein Bikhar JaaogiRanj Aur Dard Ki Basthi Ka Main Baashinda Hoon
    Ye To Bas Main Hoon Ke Is Haal Mein Bhi Zinda Hoon
    Khwaab Kyoon Dekhoon Wo Kal Jispe Main Sahrminda Hoon
    Main Jo Sharminda Hoon To Aur Tum Bhi SharmaaogiKyoon Mere Saath Koi Aur Pareshaan Rahe
    Meri Duniya Hai Jo Weeraan To Weeraan Rahe
    Zindagi Ka Ye Safar Tum Pe To Aasaan Rahe
    Humsafar Mujhko Banaaogi To Pachtaaogi

    Ek Main Kya Abhi Aayenge Diwaane Kitne
    Abhi Goonjenge Mohabbat Ke Taraane Kitne
    Zindagi Tumko Sunaaegi Fasaane Kitne
    Kyoon Samajhti Ho Mujhe Bhool Nahi Paaogi
  1. Tum Ko Dekha To Ye Khayaal Aaya
    Zindagi Dhoop Tum Ghana ChaayaAaj Phir Dil Ne Ik Tamanna Ki
    Aaj Phir Dil Ko Humne SamjhaayaTum Chale Jaaoge To Sochenge
    Humne Kya Khoya Humne Kya Paaya

    Hum Jise Gunguna Nahin Sakte
    Waqt Ne Aisa Geet Kyoon Gaaya
  1. Ye Bata De Mujhe Zindagi
    Pyaar Ki Raah Ke Humsafar
    Kis Tarah Ban Gaye AjnabeeYe Bata De Mujhe Zindagi
    Phool Kyoon Saare Mujhaa Gaye
    Kis Liye Bujh Gayee ChandiniKal Jo Baahon Mein Thee
    Aur Nigaahon Mein Thee
    Ab Wo Garmi Kahaan Kho Gayee

    Na Wo Andaaz Hai
    Na Wo Awaaz Hai
    Ab Wo Narmi Kahaan Kho Gayee

    Bewafa Tum Nahin
    Bewafa Hum Nahin
    Fir Wo Jazbaat Kyoon So Gaye

    Pyaar Tumko Bhi Hai
    Pyaar Humko Bhi Hai
    Faasle Phir Ye Kyoon Ho Gaye

    Ye Bata De Mujhe Zindagee
  1. Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar Kisi Ko Dekhna Ho Gar
    To Pehle Aake Maang Le Meri Nazar Teri Nazar
    Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar Ye Ghar Bahut Haseen Hai
    Ye Ghar Bahut Haseen Hai Ye Ghar Bahut Haseen HaiNa Baadlon Ke Chaaon Mein Naa Chandni Ke Gaaon Mein
    Na Phool Jaise Raaste Bane Hain Iske Waaste
    Magar Ye Ghar Ajeeb Hai Zameen Ke Kareeb Hai
    Ye Eet-pattharon Ka Ghar Hamaari Hasraton Ka GharJo Chaandni Nahin To Kya Ye Roshni Hai Pyaar Ki
    Dilon Ke Phool Khil Gaye To Fikr Kya Bahaar Ki
    Hamaare Ghar Na Aayegi Kabhi Khushi Udhaar Ki
    Hamaari Raahaton Ka Ghar Hamaari Chaahaton Ka Ghar

    Yahan Mahak Wafaaon Ki Mohabbaton Ka Rang Hai
    Ye Ghar Tumhara Khwaab Hai Ye Ghar Meri Umang Hai
    Na Aarzoo Pe Qaid Hai Na Hausle Pe Jung Hai
    Humare Hauslon Ka Ghar Hamaari Himmaton Ka Ghar

  1. Yun Zindagi Ki Raah Mein Majboor Ho Gaye
    Itne Huye Kareeb Ke Hum Door Ho GayeAisa Naheen Ke Humko Koi Bhee Khushi Nahin
    Lekin Ye Zindagi To Koi Zindagi Nahin
    Kyoon Iske Faisle Hamen Manzoor Ho GayePaaya Tumhe To Humko Laga Tumko Kho Diya
    Hum Dil Pe Roye Aur Ye Dil Humpe Ro Diya
    Palkon Se Khwaab Kyoon Gire Kyoon Choor Ho Gaye