Tuesday, 4 December 2012

Rare Gems


Album Name:Rare Gems
Release Year:1992
Company:HMV
Genre:Compliation
Songs:

  • Ab To Ghabrake Yeh Kehte Hain
  • Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-e-yaar Hota
  • Apna Gham Bhool Gaye
  • Bas Ki Dushwar Hai
  • Dhuan Utha Tha Diwane Ke Jalte Ghar Se
  • Dil Ko Kya Ho Gaya Khuda Jane
  • Ishq Fana Ka Naam Hai
  • Jab Bhi Aati Hai Teri Yaad Kabhi
  • Kab Se Hoon Kya Bataoon
  • Mujhe De Rahe Hai Tasaliyan
  • Os Pade Bahar Par
  • Patta Patta Boota Boota
  • Phir Kuchh Is Dil Ko Beqarari Hai
  • Saqiya Hosh Kahan Tha
  • Shahron Shahron Aaj Hain Tanha
  • Uski Hasrat Hai Jise Dil Se Mita Bhi Na Sakoon
  • Woh Jo Hum Mein Tum Mein Qarar Tha
  • Yeh Kisi Ka Tasavur
Cover Page:
     


  1. Ab To Ghabraake Ye Kehte Hain Ke Mar Jaayenge
    Mar Ke Bhee Chain Naa Paaya To Kidhar Jaayenge

    Laaye Jo Masth Hain Turbat Pe Gulaabi Aankhen
    Aur Agar Kuch Nahin Do Phool To Dhar Jaayenge

    Hum Nahin Wo Jo Karen Khoon Ka Daawa Tujhse
    Bal Ke Poochega Khuda Bhee To Mukar Jaayenge

  1. Ajab Apna Haal Hota Jo Wisaal-e-yaar Hota
    Kabhi Jaan Sadke Hoti Kabhi Benisaar Hota

    Na Maza Hai Dushmani Mein, No Hai Lutf Dosthi Mein
    Koi Ghair-ghair Hota Koi Yaar-yaar Hota

    Ye Maza Tha Dillagi Ka, Ke Baraabar Aag Lagti
    Na Tumhe Qaraar Hota Na Humen Qaraar Hota

    Tere Waade Par Sitamgar Abhi Aur Sabr Karte
    Agar Apnee Zindagee Ka Hume Aitbaar Hota

  1. Apna Gham Bhool Gaye, Teri Jafa Bhool Gaye
    Hum To Har Baat Mohabbat Ke Siwa Bhool Gaye

    Hum Akele Hi Nahin Pyaar Ke Diwaane Sanam
    Aap Bhi Nazren Jhookaanen Ki Adaa Bhool Gaye

    Ab To Socha Hai Ke Daaman Hi Tera Thaamenge
    Haath Jab Humne Uthaaye Hain Dua Bhool Gaye

    Shukr Samjho Ya Ise Apnee Shikaayat Samjho
    Tumne Wo Dard Diya Hai Ke Dawa Bhool Gaye

  1. Bus Ke Dushwaar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona
    Aadmee Ko Bhee Muyassar Naheen Insaan Hona

    Kee Mere Qatl Ke Baad Usne Jafa Se Tauba
    Haay Us Zood_pashemaan Ka Pashemaan Hona

    Haif Us Chaar Girah Kapde Ki Qismat 'ghalib'
    Jis Ki Qismat Mein Ho Aashiq Ka Girebaan Hona

  1. Dhuaan Utha Thaa Diwaane Ke Jalte Ghar Se Saari Raat
    Lekin Wo Khaamosh Rahe Duniya Ke Dar Se Saari Raat

    Raat Yun Jalte Dil Par Teri Yaadon Ki Barsaat Huyee
    Jaise Ik Pyaase Ki Chitha Par Barkha Barse Saari Raat

    Saari Raat To Sapne Dekhe Subah Ko Ye Mehsoos Hua
    Humne Apna Sar Takraaya Ik Pathhar Se Saari Raat

  1. Dil Ko Kya Ho Gaya Khuda Jaane
    Kyoon Hai Aisa Udaas Kya Jaane

    Keh Diya Maine Haal-e-dil Apnaa
    Isko Tum Jaano Ya Khuda Jaane

    Jaante-jaante Hi Jaanega
    Mujhme Kya Hai Abhi Wo Kya Jaane

    Tum Na Paaoge Sada-dil Mujhsa
    Jo Tagaful Ko Bhi Hayaa Jaane 

  1. Ishq Fana Ka Naam Hai, Ishq Mein Zindagee Na De
    Jalwa-e-aaftaab Ban, Zarre Mein Roshni Na De

    Shauq Ko Rehnuma Bana Jo Ho Chuka Kabhi Na De
    Aag Dabi Huyee Nikaal Aag Bujhi Huyee Na De

    Tujhko Khuda Ka Waasta Tu Meri Zindagee Na De
    Jiski Sehar Bhee Shaam Ho Uski Siyaah Shabi Na De 

  1. Jab Bhi Aati Hai Teri Yaad Kabhi Shaam Ke Baad
    Aur Badh Jaati Hai Afsoorda-dili Shaam Ke Baad

    Ab Iraadon Pe Bharosa Hai Na Tauba Pe Yakeen
    Mujhko Le Jaa Re Kahan Tashna_labi Shaam Ke Baad

    Yun To Har Lamhaa Teri Yaad Ka Bojhal Guzraa
    Dil Ko Mehsoos Hui Teri Kami Shaam Ke Baad

    Yun To Kuch Shaam Se Pehle Bhi Udaasi Thee 'adeeb'
    Ab To Kuch Aur Badhi Dil Ki Lagi Shaam Ke Baad 

  1. Kab Se Hoon Kya Bataaoon Jahaan-e-kharaab Mein
    Shab Haaye Hizr Ko Bhi Rakhoon Gar Hisaab Mein

    Taakhir Na Intezaar Mein Neend Aaye Umr Bhar
    Aane Ka 'ehed Kar Gaye Aaye Jo Khwaab Mein

    Qaasid Ke Aate Aate Khat Ik Aur Likh Rakhoon
    Main Jaanta Hoon Jo Wo Likhenge Jawaab Mein 

  1. Mujhe De Rahe Hain Tasalliyaan Wo Har Ek Tazaa Payaam Se
    Kabhi Aake Manzir-e-aam Par Kabhi Hat Ke Manzir-e-aam Se

    Na Garaz Kisi Se Na Waastha Mujhe Kaam Apne Hi Kaam Se
    Tere Zikr Se, Teri Fikr Se, Teri Yaad Se, Tere Naam Se

    Mere Saaqiya Mere Saaqiya Tujhe Marhawa Tujhe Marhawa
    Tu Pilaaye Jaa Tu Pilaaye Jaa Isi Chashm-e-jaam-wa-jaam Se

    Teri Suboh Aish Hai Kya Bala Tujhe Ae Falak Jo Ho Hausla
    Kabhi Kar Le Aa Ke Mukaabala Gham-e-hijr-e-yaar Ki Shaam Se 

  1. Os Pade Bahaar Par Aag Lage Kanaar Mein
    Tum Jo Nahin Kanaar Mein Lutf Hi Kya Bahaar Mein

    Uspe Kare Khuda Rahem Gardish-e-rozgaar Mein
    Apnee Talaash Chodkar Jo Hai Talaash-e-yaar Mein

    Hum Kahin Jaane Waale-e-ahed Daaman-e-ishq Chodkar
    Zeest Tere Huzur Mein, Maut Tere Dayaar Mein 

  1. Patha-patha Boota-boota Haal Hamaara Jaane Hai
    Jaane Na Jaane Gul Hi Na Jaane Baag To Saara Jaane Hai

    Chaara Gareebi Maariye Dil Ki Rasm-e-shehar-e-husn Naheen
    Warna Dilbar Ae' Naadaan Bhi Is Dard Ka Chaara Jaane Hai

    Mehar-o-wafa-o-lutf-o-inaayat Ek Se Waakif Inmein Nahin
    Aur To Sab Kuch Tanz-o-kinaaye Ranjo Ishaara Jaane Hai

  1. Phir Kuchch Is Dil Ko Beqaraaree Hai
    Seena Zoya-e-zakhm-e-kaaree Hai

    Phir Jigar Khodane Laga Naakhun
    Aamad-e-fasl-e-laala Qaaree Hai

    Phir Usee Bewafaa Pe Marte Hain
    Phir Wohee Zindagee Hamaaree Hai

    Be_khudee Be_sabab Naheen 'ghalib'
    Kuchch To Hai Jiskee Pardaadaaree Hai 

  1. Aankh Ko Jaam Samajh Baitha Tha Anjaane Mein
    Saaqiya Hosh Kahan Tha Tere Diwaane Mein

    Jaane Kis Baat Ki Unko Hai Shikaayat Mujhse
    Naam Tak Jinka Nahin Hai Mere Afsaane Mein

    Dil Ke Tukdon Se Teri Yaad Ki Khushboo Na Gayee
    Hue Main Baaqi Hai Toote Huye Paimaanon Mein

    Dil-e-barbad Mein Umeed Ka Aalam Kya Hai
    Timtimathi Huyee Ik Shamma Hai Veeraane Mein 

  1. Shaheron Shaheron Aaj Hai Tanhaa Dil Par Gehra Daag Liye
    Galiyon Galiyon Ho Gaye Ruswaa Dil Par Gehra Daag Liye

    Aaj Gulistaan Mein Failee Hai Khusboo Teri Yaadon Kee
    Mausam-e-gul Hai Hum Hain Tanha Dil Par Gehra Daag Liye

    Rote Dhote Jee Ko Jalaate Manzil-e-shab Tak Aa Pahunche
    Chere Par Hai Gard-e-tamanna Dil Par Gehra Daag Liye

    Dhoondne Unko Shaher-e-buta Mein Aaj Gaye The' Hum Bhi 'adeeb'
    Aankh Mein Lekar Gum Ka Dariyaa Dil Par Gehra Daag Liye 

  1. Uski Hasrat Hai Jise Dil Se Mita Bhee Na Sakoon
    Dhoondne Usko Chala Hoon Jise Paa Bhee Na Sakoon

    Meharbaan Hoke Bula Lo Mujhe Chaaho Jis Waqt
    Main Gaya Waqt Naheen Hoon Ke Fir Aa Bhee Na Sakoon

    Daal Kar Khaak Mere Khoon Pe Qaatil Nikaah
    Kuch Ye Mehndi Naheen Meri Ke Chupaa Bhi Na Sakoon

    Zauf Mein Taa Maye Agiyaar Ka Shikwaa Kya Hai
    Baat Kuch Sar To Naheen Hai Ke Utha Bhee Na Sakoon

    Zabt Kambakht Ne Aur Aake Gala Ghonta Hai
    Ke Use' Haal Sunawoon To Suna Bhee Na Sakoon

    Zaher Milta Hee Nahin Mujhko Sitamgar Warna
    Kya Kasam Hai Tere Milne Ki Ke Khaa Bhee Na Sakoon

    Uske Pehloon Mein Jo Le Jaake Sulaa Doon Dil Ko
    Neend Aisi Use' Aaye Ke Jagaa Bhee Na Sakoon 

  1. Wo Jo Hum Mein Tumme Qaraar Tha Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho
    Wo Hi Aani Waala Nebaahta Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

    Wo Naye Gile Wo Shikaayate Wo Maze-maze Ki Hikaayaten
    Wo Har Ek Baat Pe Roothna Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

    Koi Baat Aisi Agar Huyee Jo Tumhaare Jee Ko Buree Lagi
    To Bayaan Se Pehle Hi Bhoolna Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

    Jise Aap Ginte The Aashnaa Jise Aap Kehte The Baawafaa
    Main Wohi Hoon 'momin'-e-mubtila Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho 

  1. Ye Kiska Tassavvur Hai, Ye Kiska Fasaana Hai
    Jo Ashk Hain Aansoon Mein Takbeeh Ka Daana Hai

    Aankhon Mein Nameen Si Hai Chup-chup Se Wo Baithe Hain
    Nazook Si Nighahon Mein Naazook Sa Fasaana Hai

    Ye Ishk Naheen Aasaan Itna To Samajh Leeje
    Ik Aag Ka Dariyaa Hai Aur Doob Ke Jaana Hai

    Ya Wo The' Khafa Humse, Ya Hum Hain Khafa Unse
    Kal Unka Zamaanaa Tha, Aj Apna Zamaana Hai

2 comments:

  1. The information is incorrect. Rare Gems was a compilation released in 1992 and had a selection of ghazals from various LPs and EPs starting from 1966 till the 70s.

    The first EP of Jagjitji was released in 1966
    An EP features 4 songs.......
    It featured 2 ghazals by Jagjit ji -

    1. Apna Gham BHool Gaye
    2. Saqiya Hosh Kahan Tha

    There were 2 songs by Suresh Rajvanshi in the EP.
    The music was by C. K.Chauhan.

    In 1967 the first EP with music composed by Jagjitji was released.
    The ghazals were sung by Rajendra Mehta.
    The 4 ghazals featured in the EP were --

    1. Kahega kaun gham ki daastan
    2. Mein aap apni talaash mein hoon
    3. Mili na jashne baharan ki yaadgar
    4. Har rang mein raahat

    The first EP with all ghazals sung and composed by Jagjit ji was released in 1969.
    The 4 ghazals featured in the EP were --

    1. Patta Patta Butta Butta
    2. Mujhe De Rahe
    3. Dil ko Kya ho gaya
    4. Sahar gahe idd mein

    In 1970 another EP featuring ghazals sung and composed by Jagjit ji was released.
    It was called "Jagjit Singh Ghazalen"
    The 4 ghazals featured in the EP were --

    1. Phir Kucch Is Dil Ki Nekarari
    2. Daastaane-Ghame-Dil Unko
    3. Ab To Ghabra ke
    4. Dil Me Tum Ho

    In 1970 JS ji composed music for another EP which featured ghazals sung by Chitraji, which was her first EP.
    The 4 ghazals featured in the EP were --

    1. Yeh Kisika Tasavur
    2. Who Jo Hum Mein Tum mein Qarar Tha
    3. Bas Ki Dushwar Hai
    4. Hamara Bhi Ek Zamana Tha

    All the above EPs were on HMV.

    The first EP featuring both Jagjitji and Chitraji was released in 1975.
    It was called Super Seven on HMV.
    The ghazals featured were --

    1. Jab Bhi aati Hai Teri Yaad - Jagjit
    2. Dhuan Utha Tha Deewane Ke -Chitra
    3. Uski Hasrat Hai Jise Dilse - Chitra
    4. Meherbaan Hoon Ke Bulalo Mujhe - Chitra

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanks Rohit for sparing time and bringing the points which needs to be corrected. I request you to join the Blog and highlight in case of any discrepancies.

      I will be correct the above information

      Delete