Showing posts with label 1991. Show all posts
Showing posts with label 1991. Show all posts

Sunday, 2 December 2012

In Search


Album Name:In Search
Release Year:1991
Company:Venus
Genre:Non Film
Songs:

  • Apne Hothon Per Sajana
  • Bebasi Jurm Hai
  • Dosti Kisi Se Ki Jaye
  • Jab Kisi Se Koi Gila Rakhna
  • Kaheen Aisa Na Ho Daman Jala Lo
  • Kaise Kaise Hadse Sahate Rahe
  • Khamosi Khudh
  • Ya To Mit Jayi Ye Ya To
Cover Page:



  1. Apne Hothon Par Sajaana Chaahta Hoon
    Aa Tujhe Main Gun-gunaana Chaahta Hoon

    Koi Aansoo Tere Daaman Par Girakar
    Boond Ko Moti Banaana Chaahta Hoon

    Thak Gaya Main Karte-karte Yaad Tujhko
    Ab Tujhe Main Yaad Aana Chaahta Hoon

    Chaa Raha Hai Saari Basti Mein Andhera
    Roshni Ko Ghar Jalaana Chaahta Hoon

    Aakhri Hichki Tere Zaano Pe Aaye
    Maut Ko Bhi Shaayarana Chaahta Hoon

  1. Bebasi Jurm Hai Hauslaa Jurm Hai
    Zindagi Teri Ek-ek Adaa Jurm Hai

    Ae Sanam Tere Baare Mein Kuch Sonchkar
    Apne Baare Mein Kuch Sochna Jurm Hai

    Yaad Rakhna Tujhe Mera Ek Jurm Thaa
    Bhool Jaana Tujhe Doosra Jurm Hai

    Kya Sitam Hai Ke Tere Haseen Sehar Mein
    Har Taraf Gaur Se Dekhnaa Jurm Hai

  1. Dosti Jab Kisi Se Kee Jaaye
    Dushmano Ki Bhi Raaye Lee Jaaye

    Maut Ka Zahar Hai Fizaon Mein
    Ab Kahan Ja Kay Saans Lee Jaaye

    Bas Isee Sonch Mein Hoon Dooba Hua
    Ye Nadi Kaise Paar Kee Jaaye

    Mere Maazi Ke Zakhm Bharne Lage
    Aaj Phir Koi Bhool Kee Jaaye

    Botlayen Khol Ke To Pee Barson
    Aaj Dil Khol Ke Bhee Pee Jaaye

  1. Jab Kisi Se Koi Gila Rakhnaa
    Saamne Apne Aai'ina Rakhna

    Yun Ujaalon Se Waasta Rakhnaa
    Shamma Ke Paas Hi Hawa Rakhnaa

    Ghar Ki Taameer Chaahe Jaisi Ho
    Ismen Rone Ki Jageh Rakhnaa

    Masjiden Hain Namaaziyon Ke Liye
    Apne Ghar Mein Kahin Khuda Rakhnaa

    Milan-julna Jahan Zaroori Ho
    Milne-julne Ki Hauslaa Rakhnaa

  1. Kahin Aisa Naa Ho Daaman Jala Lo
    Hamaare Aansoon Par Khaak Daalo

    Manaana Hee Zaroori Hai To Fir Tum
    Hume Sabse Khafa Hokar Mana Lo

    Bahut Royee Huyee Lafti Hain Aankhen
    Meri Khaatir Zara Kaajal Laga Lo

    Akelepan Se Khauf Aata Hai Mujhko
    Kahan Jo Ae Mere Khwab-o-khayaalon

    Bahut Masoom Baitha Hoon Main Tumse
    Kabhi Aakar Mujhe Hairat Mein Daalo

  1. Kahin Aisa Naa Ho Daaman Jala Lo
    Hamaare Aansoon Par Khaak Daalo

    Manaana Hee Zaroori Hai To Fir Tum
    Hume Sabse Khafa Hokar Mana Lo

    Bahut Royee Huyee Lafti Hain Aankhen
    Meri Khaatir Zara Kaajal Laga Lo

    Akelepan Se Khauf Aata Hai Mujhko
    Kahan Jo Ae Mere Khwab-o-khayaalon

    Bahut Masoom Baitha Hoon Main Tumse
    Kabhi Aakar Mujhe Hairat Mein Daalo

  1. Khaamoshi Khud Apni Sada Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai
    Sannata Hee Goonj Raha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai

    Mera Maaji Mujh Se Bichad Kar Kya Jaane Kis Haal Mein Hai
    Meri Tarah Wo Bhi Tanha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai

    Sehra Sehra Kab Tak Main Dhoondoon Ulfat Ka Ek Aalam
    Aalam Aalam Ik Sehraa Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai

    Aehle Toofaan Sonch Rahe Hain Saahil Dooba Jaata Hai
    Khud Unka Dil Doob Raha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai

  1. Ya To Mit Jaa'iye Ya Mita Dijiye
    Kijiye Jo Bhi Sauda Khara Kijiye

    Ab Jafa Kijiye Ya Wafa Kijiye
    Aakhri Waqt Hai Bas Dua Kijiye

    Apnee Chehre Se Zulfen Hata Dijiye
    Aur Phir Chaand Ka Saamna Kijiye

    Har Taraf Phool Hi Phool Khil Jaayenge
    Aap Aise Hee Hanste Raha Kijiye

    Aapkee Ye Hansi Jaise Ghoongru Baje
    Aur Qayamat Hai Kya Ye Bata Dijiye

Hope


Album Name:Hope
Release Year:1991
Company:HMV
Genre:Non Film
Songs:

  • Ab Khushi Hai Na Koi Gham
  • Aise Hijr Ke Mausam
  • Dekha Jo Aaina To Mujhe
  • Dhoop Hai Kya Aur Saya Kya
  • Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein
  • Khuda Hum Ko Aisi Khudai Na De
  • Kya Khabar Thi Is Taraha Se
  • Na Shivale Na Kalisa Na Haram
  • Tanha Tanha Hum Ro Lenge
Cover Page:



  1. Ab Khushi Hai Na Koi Gam Rulaane-waala
    Humne Apna Liya Har Rang Zamaane-waalaUsko Rukhsat To Kiya Tha Mujhe Maloom Na Tha
    Saara Ghar Le Gaya, Ghar Chod Ke Jaane-waala

    Ik Musafir Ke Safar Jaisi Hai Sabki Duniyan
    Koi Jaldi Mein Koi De'r Se Jaane-waala

    Ek Be-chehra See Ummid Hai Chehra-chehra
    Jis Taraf Dekhiye Aane Ko Hai Aane-waala

  1. Aise Hijr Ke Mausam Tab Tab Aate Hain
    Tere Alaawa Yaad Hame Sab Aate HainJaadu Ki Aankhon Se Bhi Dekho Duniya Ko
    Khwaabon Ka Kya Hai Wo Har Sab Aate Hain

    Ab Ke Safar Ki Baat Nahin Baaqi Warna
    Hum Ko Bulaayen Dasth Se Jab Wo Aate Hain

    Kaagaz Ki Kasthi Mein Dariya Paar Kiya
    Dekho Hum Ko Kya Kya Kartab Aate Hain

  1. Dekha Jo Aa'inah To Mujhe Sochna Pada
    Khud Se Na Mil Saka To Mujhe Sochna PadaUska Jo Khat Mila To Mujhe Sochna Pada
    Apna Sa Wo Laga To Mujhe Sochna Pada

    Mujhko Tha Gumaan Ke Muhhi-mein Hai Ek Wana
    Dekha Teri Anaa To Mujhe Sochna Pada

    Duniya Samajh Rahee Thee Ke Naraaz Mujhse Hai
    Lekin Wo Jab Mila To Mujhe Sochna Pada

    Ik Din Wo Mere Aib Ginaane Laga Karaar
    Jab Khud Hi Thak Gaya To Mujhe Sochna Pada

  1. Dhoop Hai Kya Aur Saaya Kya Hai Ab Maloom Hua
    Ye Sab Khel Tamasha Kya Hai Ba Maloom HuaHanste Phool Ka Chehra Dekhoon Aur Bhar Aayi Aankh
    Apne Saath Ye Kissa Kya Hai Ab Maloom Hua

    Hum Barson Ke Baad Bhi Unko Ab Taq Bhool Na Paaye
    Dil Se Unka Rishtaa Kya Hai Ab Maloom Hua

    Sehra Sehra Pyaase Bhatke Saari Umr Jale
    Baadal Ka Ik Tukda Kya Hai Ab Maloom Hua

  1. Kabhii Yuu.n Bhii Aa Merii Aa.nkh Me.n Ke Merii Nazar Ko Khabar Na Ho
    Mujhe Ek Raat Nawaaz De Magar Uske Baad Sahar Na HoVo Ba.daa Rahiim-o-kariim Hai Mujhe Ye Sifat Bhii Ataa Kare
    Tujhe Bhuulane Kii Duaa Karuu.n To Duaa Me.n Merii Asar Na Ho

    Kabhii Din Kii Dhuup Me.n Jhuum Ke Kabhii Shab Ke Phuul Ko Chuum Ke
    Yuu.n Hii Saath Saath Chale.n Sadaa Kabhii Khatm Apanaa Safar Na Ho

    Mere Paas Mere Habiib Aa Zaraa Aur Dil Ke Qariib Aa
    Tujhe Dha.dakano.n Me.n Basaa Luu.n Mai.n Ke Bichha.dane Kaa Kabhii Dar Na Ho

  1. Khudaa Humko Aisee Khudaayee Na De
    Ke Apne Siwa Kuchch Dikhaayee Na DeKhatawaar Samjhegee Duniyaan Tujhe
    Ke Itnee Ziyaada Safaayee Na De

    Hanso Aaj Itnaa Ke Is Shor Mein
    Sada Siskiyon Ki Sunaayee Na De

    Abhi To Badan Mein Lahoo Hai Bahot
    Kalam Cheen Le Roshnaayee Na De

    Khuda Aise Ehsaas Ka Naam Hai
    Rahe Saamne Aur Dikhayee Na De

  1. Kya Khabar Thee Is Tarah Se Wo Juda Ho Jaayega
    Khwaab Mein Bhi Uska Milna Khwaab Sa Ho JaayegaZindagi Thee Qaid Hum'me Kya Nikaaloge Use
    Maut Jab Aa Jaayegi To Khud Rihaa Ho Jaayega

    Dosth Bankar Usko Chaaha Ye Kabhi Socha Na Tha
    Dosthi Hee Dosthi Mein Wo Khudaa Ho Jaayega

    Uska Jalwa Hoga Kya Jiska Ke Parda Noor Hai
    Jo Bhi Usko Dekh Lega Wo Fidaa Ho Jaayega

  1. Na Shiwaale, Na Qalisa, Na Haram Jhoote Hain
    Bas Yahi Sach Hai Ke Tum Jhoote Ho Hum Jhoote HainHumne Dekha Hee Nahi Bolte Unko Ab Taq
    Kaun Kehta Hai Ke Pathar Ke Sanam Jhoote Hain

    Unse Miliye To Khushi Hoti Hai Unse Milkar
    Sehar Ke Doosre Logon Se Jo Kam Jhoote Hain

    Kuch To Hai Baat Jo Tehriron Mein Taasir Nahin
    Jhoote Fanqaar Nahin Hain To Qalam Jhoote Hain

  1. Tanha Tanha Hum Ro Lenge Mehfil Mehfil Gaayenge
    Jab Taq Aansoo Saath Rahenge Tab Taq Geet SunaayengeTum Jo Soncho Wo Tum Jaano Hum To Apni Kehte Hain
    Der Na Karna Ghar Jaane Mein Warna Ghar Kho Jaayenge

    Bachchon Ke Chote Haathon Ko Chaand Sitaaren Choone Do
    Chaar Kitaabe Padh Kar Wo Bhi Hum Jaise Ho Jaayenge

    Kin Raahon Se Door Hai Manzil Kaun Sa Rasta Aasaan Hai
    Hum Jab Thal Kar Ruk Jaayenge, Auron Ko Samjhaayenge

    Achchee Soorat Waale Saare Patthar Dil Hon Mumkin Hai
    Hum To Uss Din Raayen Denge Jis Din Dhokha Khaayenge