Showing posts with label 2002. Show all posts
Showing posts with label 2002. Show all posts

Tuesday, 4 December 2012

Leela


Album Name:Leela
Release Year:2002
Company:HMV
Genre:Film
Songs:

  • Dhuan Uttha Hai
  • Jaag Ke Kati
  • Jabse Kareeb Ho Ke Chale
  • Jabse Kareeb Ho Ke Chale 2
  • Tere Khayal Ki
Cover Page:
  


  1. Dhuan Uttha Hai, Kahi Aag Jal Rahi Hogi,
    Kahi Se Roshani Bahar Nikal Rahi Hogi,

    Yeh Charo Aur Se Aate Hue Kai Raste,
    Jab Ek Dusre Ke Jism Aa Ke Chuute Hai,

    Koi To Haath Mil Kar Nikal Gaya Hoga,
    Kisi Bhi Mod Pe Manjil Badal Gayi Hogi,

    Har Ek Roz Naya Asmaan Khulta Hai,
    Khabar Nai Hai Kal Din Ka Rang Kya Hoga,

    Palak Se Pani Gira Hai To Girne Do,
    Koi Purani Tamanna Pighal Rahi Hogi
  1. Jaag Ke Kati Sari Rayna,
    Nayno Me Kal Oos Girithi,

    Prem Ki Agni Buzti Nahi Hai,
    Behti Nadiya Rukti Nahi Hai,
    Sagar Tat Behtey Do Neyna,

    Ruh Ke Bandhan Khulte Nahi Hai,
    Daagg Hai Dil Ke Dhulte Nahi Hai,
    Karwat Karwat Baati Rayna
  1. Jabse Kareb Ho Ke Chale, Zindagi Se Hum,
    Khud Apne Ayine Ko Lage, Ajnabi Se Hum,

    Akho Ko Deke Roshani, Gul Kar Diye Chirag,
    Tang Aa Chuke The Waqt Ki Is Dillagi Se Hum,

    Ache Bure Ke Fark Ne Basti Uzad Di,
    Majbor Ho Ke Milne Lage Har Kisi Se Hum.
  1. Jabse Kareb Ho Ke Chale, Zindagi Se Hum,
    Khud Apne Ayine Ko Lage, Ajnabi Se Hum,

    Wo Kon Hai Jo Pass Bhi Hai Aur Dur Bhi,
    Har Lamha Mod Pe Hai, Kisi Ko Kisi Se Hum,

    Ehsaas Yeh Bhi Kam Nahi Jine Ke Wastey,
    Har Dard Ji Rahe Hai, Tumhari Khusi Se Hum,

    Kuch Dur Chal Ke Raste, Sub Ek Se Lage,
    Milne Gaye Kisi Se, Mil Aye Kisi Se Hum,

    Kis Mod Par Hayat Ne, Phucha Diya Hame,
    Naraj Hai Gamo Se, Na Khus Hai Khusi Se Hum
  1. Khumhare Gum Hai, Mehakti Fiza Mein Jite Hai,
    Tere Khayal Ki Abohawan Mein Jite Hai,

    Bade Tapak Se Miltey Hai, Milne Wale Mujhe,
    Who Mere Dost Hai, Teri Wafa Meh Jite Hai,

    Firake Yaar Me Saanso Ko Roke Rakhte Hai,
    Har Ek Lamha Guzarti Kaza Me Jite Hai,

    Nabaat Puri Hoi Thi, Ke Raat Tooth Gayi,
    Adhure Khawab Ki Adhi Saza Mein Jite Hai,

    Tumhari Bato Mein Koi Masiha Basta Hai,
    Hasi Labo Se Barasti Shafa Mein Jite Hai

Samvedna


Album Name:Samvedna
Release Year:2002
Company:HMV
Genre:Non Film
Songs:

  • Chaurahe Per
  • Door Kahin Koi Rota Hai
  • Ek Baras Beet Gaya
  • Jeevan Beet Chala
  • Kadam Milakar Chalna Hoga
  • Kya Khoya Kya Paya
Cover Page:




  1. Chaurahe Par Lutta Cheer,
    Pyade Se Pit Gaya Wajir,
    Chalu Aakhri Chaal Ki Baji Chod Virakti Rachau Main,
    Raah Kaun Se Jau Main,Sapna Jaanma Aur Mar Gaya,
    Madhu Ritu Mein Hi Baag Jhar Gaya,
    Tinke Bikhare Huye Batoru Ya Nav Saristi Sajau Main,
    Raah Kaun Si Jayu Main,

    Do Din Mile Udhaar Mein,
    Ghaate Ke Vayapar Mein,
    Shan Shan Ka Hisab Jodu,
    Ya Punji Shesh Lutau Main,
    Rah Kaun Si Jayu Main.
  1. Door Kahin Koi Rota Hai,
    Tan Par Pehra, Bhatak Raha Man,
    Saathi Hai Kaival Sunapan,
    Bichud Gaya Kya Savajan Kisi Ka,
    Krandan Sada Karun Hota Hai,Janam Divas Par Hum Ithalate,
    Kyu Na Maran Tyohaar Manate,
    Aantim Yatra Ke Avsar Par,
    Aasu Ka Aashkun Hota Hai,

    Aantar Roye, Aakh Na Roye,
    Dhul Jayege Savapan Sanjoye,
    Chalna Bhare Vishwa Mein,
    Keval Spana Hi To Sach Hota Hai,

    Is Jeevan Se Mrityu Bhali Hai,
    Aatankit Jab Gali Gali Hai,
    Main Bhi Rota Aaspaas Jab,
    Koi Kahi Nahi Hota Hai,
    Door Kahin Koi Rota Hai.
  1. Ek Baras Beet Gaya,
    Jhulsata Jaith Maas,
    Sharad Chandni Udaas,
    Siski Bharte Sawan Ka,
    Antar Ghat Reet Gaya,
    Ek Baras Beet Gaya,Seekchon Mein Simta Jaag,
    Kintu Vikal Pran Vinag,
    Dharti Se Ambar Tak,
    Gunj Mukti Geet Gaya,
    Ek Baras Beet Gaya,

    Path Niharte Nayan,
    Ginte Din, Pal Chin,
    Laut Kabhi Aayega,
    Maan Ka Jo Meet Gaya,
    Ek Baras Beet Gaya.
  1. Jeevan Beet Chala,
    Kaal, Kaal Karte, Aaj,
    Haath Se Nikle Sare,
    Bhoot Bhavishyat Ki Chinta Mein,
    Vartaman Ki Baji Hare,
    Pehra Koi Kaam Na Aaya,
    Rasghat Reet Chala,
    Jeevan Beet Chala,
    Hani - Labh Ke Paldo Mein,
    Tulta Jeevan Vayapar Ho Gaya,
    Maul Laga Bikne Wale Ka,
    Bina Bika Bekar Ho Gaya,
    Mujhe Haat Mein Chod Akela,
    Ek Ek Kar Meet Chala,
    Jevan Beet Chala
  1. Kadam Milakar Chalna Hoga,
    Badhaye Aati Hai Aaye,
    Ghire Praly Ki Ghor Ghataye,
    Paavo Ke Niche Aangare,
    Sir Par Bares Yadi Javalaye,
    Nij Hitho Se Hanste Hanste,
    Aag Laga Kar Jalna Hoga,
    Kadam Milakar Chalna Hoge,
    Hasye Rudan Mein, Tufano Mein,
    Amar Asankhaye Balidano Mein,
    Udyano Mein, Virano Mein,
    Aapmano Mein, Sammano Mein,
    Unnat Mastak , Ubhra Sinaa,
    Peedayo Mein Palna Hoga,
    Kadam Milakar Chalna Hoga,
    Ujiyaro Mein, Aandhkar Mein,
    Kal Kachar Mein, Beech Dhar Mein,
    Ghoor Ghrinaa Mein, Puut Payaar Mein,
    Shanik Jeet Mein, Dergha Haar Mein,
    Jeevan Ke Shat Shat Aakarshak,
    Aarmano Ko Dalna Hoga,
    Kadam Milakar Chalna Hoga.
  1. Kya Khoya, Kya Paya Jag Mein,
    Milte Aur Bichadte Maag Mein,
    Mujhe Kisi Se Nahi Shikayat,
    Yadhyapi Chala Gaya Pag Pah Main,
    Ek Darishti Beeti Par Dale,
    Yado Ki Potali Tatole,Parithvi Lakho Varsh Purani,
    Jevaan Ek Anant Kahani,
    Par Tan Ki Apni Semaye,
    Yadhyapi Soo Shardon Ki Vani,
    Itna Kafi Hai Aantim Dastak,
    Par Khud Darwaja Khole,
    Janam-maran Ka Avirt Phera,
    Jevaan Banjaro Ka Dera,
    Aaj Yah, Kal Kaha Kauch Hai,
    Kaun Janta, Kidhar Sawera,
    Aandhiyara Aakash Asemit,
    Prano Ke Pankho Ko Toole,
    Aapne Hi Maan Se Kuch Boole.

Deham


Album Name:Deham
Release Year:2002
Company:Universal
Genre:Film
Songs:

  • Yun To Guzar Raha Hai
Cover Page:



  1. Yuh To Guzar Raha Hai, Harek Pal Khusi Ke Saath
    Phir Bhi Koi Kami Si Hai, Kyu Zindagi Ke SathRishte Wafaye Dosti, Sab Kuch To Pass Hai
    Kya Baat Hai Pata Nahi, Dil Kyu Udaas Hai

    Har Lamha Hai Hassen, Nayi Dil Kashi Ke Sath
    Phir Bhi Koi Kami Si Hai, Kyu Zindagi Ke Sath

    Chahat Bhi Hai Sukun Bhi Hai Dilbari Bhi Hai
    Aakho Me Khawab Bhi Hai, Labo Par Hasee Bhi Hai

    Dil Ko Nahi Hai Koi, Shikayat Kisi Ke Saath
    Phir Bhi Koi Kami Si Hai, Kyu Zindagi Ke Sath

    Socha Tha Jaisa Waisa He Jewan To Hai Magar
    Ab Aur Kis Talash Mein Baichain Hai Nazar

    Kudrat Bhi Meharban Hai Daryadili Ke Saath
    Phir Bhi Koi Kami Si Hai, Kyu Zindagi Ke Sath

Aap Ko Pehle Bhi Kahi Dekha Hai



Album Name:Aap Ko Pehle Bhi Kahi Dekha Hai
Release Year:2002
Company:T-Series
Genre:Film
Songs:

  • Aisi Aankhein Nahi Dekhi
Cover Page:

 



  1. Aisi Aankhein Nahi Dekhi, Aisa Kajal Nahi Dekha,
    Aisa Jalwa Nahi Dekha, Aisa Chera Nahi Dekha,

    Jab Yeh Daman Ki Hawa Ne, Aag Jungle Mein Laga De,
    Jab Yeh Sherao Mein Jaye, Ret Mein Phool Khilaye,

    Aisi Duniya Nahi Dekhi, Aisa Manjar Nahi Dekha,
    Aisa Alam Nahi Dekha, Aisa Dilbar Nahi Dekha,

    Us Ke Kangan Ka Khadakna, Jaisa Bul Bul Ka Chakna,
    Us Ki Pajeb Ki Cham Cham, Jaise Barsatt Ka Mausam,

    Aisa Sawan Nahi Dekha, Aisi Barish Nahi Dekhi,
    Aisi Rim Jhim Nahi Dekhi, Aisi Khawaish Nahi Dekhi,

    Us Ki Bewaqt Ki Batey, Jaise Sardi Ki Ho Raatey,
    Uf Yeh Tanhai, Yeh Masti, Jaise Tufan Mein Kashti,

    Mithi Koyal Si Hai Boli, Jaise Gito Ki Rangoli,
    Surkh Galo Par Pasina, Jaise Fagun Ka Mahina