Tuesday, 4 December 2012

Chithi Na Koi Sandesh


Album Name:Chithi Na Koi Sandesh
Release Year:2005
Company:HMV
Genre:Compilation
Songs:

  • Chitthi Na Koi Sandesh
  • Pyar Mujh Se Jo Kiya Tumne
  • Humsafar Banke Hum
  • Mere Dil Mein Tu Hi Tu Hai
  • Raakh Ke Dher Ne
  • Raat Ghataye Jaadu Khushboo
  • Phir Aaj Mujhe
  • Tere Khayal Ki
  • Ishq Kya Hai
  • Jaag Ke Kati Sari Raina

Cover Page:
  



  1. Chitti Na Koi Sandesh, Jane Who Kaun Sa Desh,
    Jaha Tum Chale Gaye,
Is Dil Pe Laga Ke Thesh, Jane Who Kaun Sa Desh,
Jaha Tum Chale Gaye,

Ab Yaadon Ke Kante, Is Dil Me Chubhte Hai,
Na Dard Therta Hai, Na Aasu Rukte Hai,

Tumhe Dund Raha Hai Pyaar, Hum Kaise Kare Ikrar,
Ke Ha Tum Chale Gaye,

Ek Aha Bhari Hogi, Hamne Na Suni Hogi,
Jate Jate Tumne, Awaz To Di Hogi,

Har Waqt Yahi Hai Gam, Us Waqt Kha The Hum,
Kaha Tum Chale Gaye

  1. Pyar Mujh Se Jo Kiyaa Tumne To Kya Paaogi
    Mere Haalaat Ki Aandhi Mein Bikhar Jaaogi
Ranj Aur Dard Ki Basthi Ka Main Baashinda Hoon
Ye To Bas Main Hoon Ke Is Haal Mein Bhi Zinda Hoon
Khwaab Kyoon Dekhoon Wo Kal Jispe Main Sahrminda Hoon
Main Jo Sharminda Hoon To Aur Tum Bhi Sharmaaogi

Kyoon Mere Saath Koi Aur Pareshaan Rahe
Meri Duniya Hai Jo Weeraan To Weeraan Rahe
Zindagi Ka Ye Safar Tum Pe To Aasaan Rahe
Humsafar Mujhko Banaaogi To Pachtaaogi

Ek Main Kya Abhi Aayenge Diwaane Kitne
Abhi Goonjenge Mohabbat Ke Taraane Kitne
Zindagi Tumko Sunaaegi Fasaane Kitne
Kyoon Samajhti Ho Mujhe Bhool Nahi Paaogi

  1. Humsafar Banke Hum Saath Hain Aaj Bhee
    Fir Bhee Hai Ye Safar Ajnabi Ajnabi
    Raah Bhee Ajnabi Mod Bhee Ajnabi
    Jaayen Hum Kidhar Ajnabi Ajnabi
Zindagi Ho Gayee Hai Sulagta Safar
Door Tak Aa Raha Hai Dhuaan Sa Nazar
Jaane Kis Mod Par Kho Gayee Har Khushi
Deke Dard-e-jigar Ajnabi Janabi

Humne Chun Chun Ke Tinke Banaaya Tha Jo
Aashiyaan Hasraton Se Sajaaya Tha Jo
Hai Chaman Mein Wahi Aashiyaan Aaj Bhee
Lag Raha Hai Magar Ajnabi Ajnabi

Kisko Maaloom Tha Din Ye Bhee Aayenge
Mausamon Kee Tarah Dil Badal Jaayenge
Din Hua Ajnabi Raat Bhee Ajnabi
Har Ghadi Har Pahar Ajnabi Ajnabi

  1. Mere Dil Mein Tu Hi Tu Hai Dil Ki Dawa Kya Karoon
    Dil Bhee Tu Hai Jaan Bhee Tu Hai Tujhpe Fidaa Kya Karoon

Khud Ko Khoke Tujhko Paakar Kya Kya Mila Kya Kahoon
Teri Hoke Jeene Mein Kya Aaya Maza Kya Kahoon

Kaise Din Hain Kaisee Raaten Kaisi Fizaa Kya Kahoon
Meri Hoke Tune Mujhko Kya Kya Diyaa Kya Kahoon

Meri Pehloo Mein Jab Tu Hai Phir Main Dua Kya Karoon
Dil Bhee Tu Hai Jaan Bhee Tu Hai Tujhpe Fidaa Kya Karoon

Hai Ye Duniya Dil Ki Duniya Milke Rahenge Yahaan
Lootenge Hum Khushiyaan Har Pal Dukh Na Sahenge Yahaan

Armaano Ke Chanchal Dhaare Aise Bahenge Yahaan
Ye To Sapno Ki Jannat Hai Sab Hi Kahenge Yahan

Ye Duniya Mere Dil Mein Basi Hai Dil Se Juda Kya Karoon
Dil Bhee Tu Hai Jaan Bhee Tu Hai Tujhpe Fidaa Kya Karoon

  1. Koi Kesu, Koi Aachal Hame Aawaj Na De,
    Ab Kisi Aakh Ka Kajal Hame Awaj Na De,
Hum Hai Khamosh To Khamosh Hi Rehne Do Hame,
Koi Aahat Koi Halchal Hame Awaj Na De,

Hum Ne Tanhai Ko Mehboob Bana Rakha Hai,
Raakh Ke Dher Ne Sholo Ko Daba Rakha Hai,

Phir Pukara Hai Mohabat Ne Hame Kya Kijye,
Di Sada Husn Ki Janat Ne Hame Kya Kijye,

Jis Ke Saye Se Bhi Aksar Hame Dar Lagta Tha,
Choo Liya Akhir Usey Hasrat Me Kya Kijye,

Hamne Jasbat Ke Daman Ko Bacha Rakha Hai,
Raakh Ke Dher Ne Sholo Ko Daba Rakha Hai,

Raas Ayena Kabhi Pyar Ke Halat Hame,
Dil Ke Is Khel Mein Har Bar Hui Mat Hame,

Kya Karenge Kaha Jayenge Kidhar Jayenge,
De Gayi Jabbhi Daga Yeh Mulakat Hame,

Bas Isi Soch Ne Hame Devana Bana Rakha Hai,
Raakh Ke Dher Ne Sholo Ko Daba Rakha Hai.

  1. Raat Ghataye Jaadu Khushboo

  2. Phir Aaj Mujhe Tumko Bas Itna Bataana Hai
    Hasna Hee Jeewan Hai Haste Hee Jaana Hai
Madhuban Ho Ya Gulshan Ho Patjhad Ho Ya Saawan Ho
Har Haal Mein Insaan Ka Ik Phool Sa Jeewan Ho
Kaanton Mein Ulajh Ke Bhi Khushboo Hee Lutaana Hai
Hasna Hee Jeewan Hai Haste Hee Jaana Hai

Har Pal Jo Guzar Jaaye Daaman Ko To Bhar Jaaye
Ye Soch Ke Jee Lein Tho Takdeer Sawar Jaaye
Is Umr Kee Raahon Se Khushiyon Ko Churaana Hai
Hasna Hee Jeewan Hai Haste Hee Jaana Hai

Sab Dard Mitaa De Hum, Har Gham Ko Saza De Hum
Kehte Hai Jise Jeena Duniya Ko Sikha De Hum
Ye Aaj To Apna Hai Kal Bhee Apnaana Hai
Hasna Hee Jeewan Hai Haste Hee Jaana Hai

  1. Khumhare Gum Hai, Mehakti Fiza Mein Jite Hai,
    Tere Khayal Ki Abohawan Mein Jite Hai,
Bade Tapak Se Miltey Hai, Milne Wale Mujhe,
Who Mere Dost Hai, Teri Wafa Meh Jite Hai,

Firake Yaar Me Saanso Ko Roke Rakhte Hai,
Har Ek Lamha Guzarti Kaza Me Jite Hai,

Nabaat Puri Hoi Thi, Ke Raat Tooth Gayi,
Adhure Khawab Ki Adhi Saza Mein Jite Hai,

Tumhari Bato Mein Koi Masiha Basta Hai,
Hasi Labo Se Barasti Shafa Mein Jite Hai

  1. Ishq Kya Hai, Ishq Ibadat
    Ishq Hai Imaan
Ishq Jagaye, Phathar Mein Bhi
Dil Mein Ho, Jayse Arma

Sa Ni Dha Pa MaPa Dha Ma Ga Re

Ishq Mein Marna, Ishq Mein Jina
Ishq Ka daman, chood kabhi na

Ishq Ko Jisne, Jaan Liya Hai
Usne Rab Ko, Maan Liya Hai

Ishq Mein Khushio, Ka Mausam Hai
Ishq Mein Asu, Ishq Mein Gam Hai

Ishq Mein Jo Bhi Khoya
Kho Deta Apni Pehchan

Ishq Safar Hai, Ishq Musafir
Ishq Chipa Hai, Ishq Hai Jahir

Ishq Gazal Hai, Ishq Tarana
Ishq Ka Jadu, Sadiyo Purana

Ishq Mein Dil Khilte Hai
Yah Dil Ho Jate Viran

  1. Jaag Ke Kati Sari Rayna,
    Nayno Me Kal Oos Girithi,
Prem Ki Agni Buzti Nahi Hai,
Behti Nadiya Rukti Nahi Hai,
Sagar Tat Behtey Do Neyna,

Ruh Ke Bandhan Khulte Nahi Hai,
Daagg Hai Dil Ke Dhulte Nahi Hai,
Karwat Karwat Baati Rayna

No comments:

Post a Comment