Showing posts with label 1995. Show all posts
Showing posts with label 1995. Show all posts

Sunday, 2 December 2012

Hare Krishna


Album Name:Hare Krishna
Release Year:1995
Company:Pan
Genre:Devotaional
Songs:

  • Deenan Dukh Haran Dev
  • Hari Tum Haro Jan Ki Peer
  • Hey Gobind Hey Gopal
  • Jai Radha Madhaw
  • Murli Manohar Gopala
  • Sabse Oochi Prem Sagai
  • Tum Meri Rakho Laaj Hari
Cover Page:



  1. Deenan Dukh Haran Dev,
    Santan Hitkari,
    Aja Mil Geedh Pyaas,
    Inme Kahoo Kaun Saath,
    Panchi Ko Padh Padat,
    Gankasi Tari,
    Druhv Ke Sar Chatra Det,
    Prahlaad Ko Ubaar Deyt,
    Bhakt Heyt Bandhyo Sate,
    Lankpuri Jayi,
    Gaj Ko Jab Grah Kasyo,
    Dushusan Cheer Kashyo,
    Saba Krishan Krishan,
    Dropadi Pukari,
    Itne Har Aaye Gaye,
    Bas Nun Aarur Bhaye,
    Sur Daas Bare Thado,
    Aandhro Dikhayi 

  1. Hari Tum Haro Jan Ki Peer,
    Dropdi Ki Laaj Rakhi,
    Tum Badayo Cheer,
    Bhakt Karan Rup Nar Hari,
    Dharyo Aap Sharir,
    Purteh Gajran Rakhyo,
    Kiyo Bahar Ni,
    Dasi Mira Lal Gridhar,
    Dukh Taha Jati,
    Hare Krishna, Hare Krishna,
    Krishna Krishna, Hare Hare,
    Hare Rama, Hare Rama,
    Rama Rama, Hare Hare 

  1. Hey Gobind Hey Gopal,
    Hey Dya Needhan,
    Paran Naath Anath Sake,
    Deen Darad Niihal,
    Hey Samarath Agamye Puran,
    Moh Maya Dhar,
    Aand Kup Maha Bhayan,
    Nanak Par Uttar
  1. Jai Radha Madhav, Jai Kunj Bihari,
    Jai Gopi Jan Walabh, Jai Girdhar Hari,
    Murli Manohar Karuna Sagar,
    Jai Govardhan Hari,
    Yashoda Nandan, Brij Jan Ranjan,
    Jamuna Teer Ban Chari,
    Hare Krishna, Hare Krishna,
    Krishna Krishna, Hare Hare,
    Hare Rama, Hare Rama,
    Rama Rama, Hare Hare
  1. Murli Manohar Gopala,
    Govind Radhe Gopala,
    Jai Hari Radha,
    Jai Hari Krishana,
    Jai Govardhan Gopala,
    Jai Girdhari Kunj Bihari,
    Shyam Murli Gopala,
    Gopi Walabh Deen Dyala,
    Devki Nandan Gopala,
    Hare Krishna, Hare Krishna,
    Krishna Krishna, Hare Hare,
    Hare Rama, Hare Rama,
    Rama Rama, Hare Hare

  1. Sabse Oochi Prem Sagai,
    Sabse Oochi Prem Sagai,
    Duriyodhan Ko Mewa Tyagyo,
    Saat Widhur Ghar Payi,
    Jhute Phal Shabri Ke Khaye,
    Bhaut Hi Prem Lagayi,
    Prem Ke Vas Arjun Raath Hakyo,
    Bhul Gaye Chaturai,
    Aisi Preet Bhadi Vrindhaban,
    Hey Gobind Naach Nachayi,
    Suur Duur Is Layak Nahi,
    Kehalat Kare Lagi,
    Hare Krishna, Hare Krishna,
    Krishna Krishna, Hare Hare,
    Hare Rama, Hare Rama,
    Rama Rama, Hare Hare 

  1. Tum Meri Rakho Laaj Hari,
    Tum Janat Sab Antaryami,
    Karni Kachu Na Kari,
    Fagun Mause Birsrat Nahi,
    Palchin Ghadi Ghadi,
    Tum Meri Rakho Laaj Hari,
    Dara Sut Dhar Moha Liye Ho,
    Sud Bud Sab Bisri,
    Ab Meri Rakho Laaj Hari,
    Suur Patit Ko Bedh Ubaro,
    Ab Meri Nav Hari,
    Tum Meri Rakho Laaj Hari

Saturday, 1 December 2012

Dil Kahin Hosh Kahin


Album Name:Dil Kahin Hosh Kahin
Release Year:1999
Company:Universal
Genre:Non Film
Songs:

  • Jab Samne Tum Aa Jate Ho
  • Tum Ko Bhool Na Payege
Cover Page:



  1. Aayina Dekh Ke Bole,
    Yeh Savarne Wale,
    Ab To Bemaut Marenge,
    Mere Marne Wale,

    Dekh Ke Tumko,
    Hosh Mein Aana,
    Bhool Gaye,
    Yaad Rahe Tum,
    Aur Jamana Bhool Gaye,

    Jab Samne Tum, Aa Jate Ho,
    Kya Jane Kya Ho Jata Hai,
    Kuch Mil Jata Hai,
    Kuch Kho Jata Hai,
    Kya Jane Kya Ho Jata Hai,

    Chaha Tha Yeh Kahege,
    Socha Tha Who Kahege,
    Aaye Who Samne To,
    Kuch Bhi Na Keh Sake Bas,
    Dekha Kiye Unhe Hum,
    Dekh Kar Tum Ko Yakin Hota Hai,
    Koi Itna Bhi Haseen Hota Hai,
    Dekh Pate Hai Kaha Hum Tumko,
    Dil Kahi Hosh Kahi Hota Hai,

    Aa Kar Chale Na Jana,
    Ayese Nahi Satana,
    Dekar Hasee Laboo Ko,
    Aakho Ko Mat Rulana,

    Dena Na Bekarari,
    Dil Ka Karar Ban Ke,
    Yaado Mein Kho Na Jana,
    Tum Intajar Banke,

    Bhool Kar Tumko Na Jee Payege,
    Saath Tum Dogi Jaha Hum Jayege,
    Hum Koi Waqt Nahi Hai Humdum,
    Jab Bulaoge Chale Aayege.
  1. Kahi Kahi Se Har Chera, Tum Jaisa Lagta Hai,
    Tum Ko Bhool Na Payege Hum, Ayesa Lagta Hai,
    Aaisa Bhi Ek Raang Hai, Jo Karta Hai Bate Bhi,
    Jo Bhi Isko Pahen Le Wo Apna Sa Lagta Hai,

    Tum Ko Bhool Na Payege Hum, Ayesa Lagta Hai,
    Kahi Kahi Se Har Chera, Tum Jaisa Lagta Hai,
    Tum Ko Bhool Na Payege Hum, Ayesa Lagta Hai,

    Aur To Sab Kuch Theek Hai Lakin,
    Kabhi Kabhi Yu Hi Chalta Phirata Shaher,
    Achanak Achanak Tanha Lagta Hai,
    Tum Ko Bhool Na Payege Hum, Ayesa Lagta Hai,

    Ab Bhi Yu Milte Hai Humse Phool Chameli,
    Jaise Inse Apna Koi Rista Lagta Hai,
    Tum Ko Bhool Na Payege Hum, Ayesa Lagta Hai

Cry for Cry


Album Name:Cry for Cry
Release Year:1995
Company:HMV
Genre:Non Film
Songs:

  • Aaj Ke Daur Mein
  • Ab Mein Rashan Ki Qataron Mein
  • Apne Chehare Se Jo Jhahir Hai
  • Kabhi Ansoo Kabhi Khushi
  • Lab Pe Aati Hai Dua Banke
  • Maa Sunao Mujhe Woh Kahani
  • Mujh Mein Jo Kuch Achchha Hai
  • Woh Rulakar Hans Na Paya Der Tak
Cover Page:
             Cry For Cry



  1. Aaj Ke Daur Mein Ae Dost Ye Manjhar Kyoon Hai,
    Zakhm Har Sar Pe Har Ik Haath Mein Paththar Kyoon Hai.

    Jab Haqeeqat Hai Ke Har Zarre Mein Tu Rehta Hai,
    Fir Zamin Par Kahin Masjid Kahin Mandir Kyoon Hai

    Apna Anjaam To Maaloom Hai Sabko Phir Bhi
    Apnee Nazron Mein Har Insaan Sikandar Kyoon Hai

    Zindagi Jeene Ke Qaabil Hi Nahin Ab "faakir"
    Warna Har Aankh Mein Ashkon Ka Samandar Kyoon Hai

  1. Ab Main Ration Ki Kataron Mein Nazar Aata Hoon
    Apne Kheton Se Bichchadne Ki Saza Paata Hoon

    Itnee Menhgaayee Ke Bazaar Se Kuch Laata Hoon
    Apne Bachchon Mein Us'se Baant Ke Sharmaata Hoon

    Apnee Neendo Ki Lahoo Pochne Ki Koshish Mein
    Jaagte Jaagte, Thak Jaata Hoon So Jaata Hoon

    Koi Chaadar Samajh Ke Kheench Na Le Fir Se "khaleel"
    Main Qafan Odh Kar Foot-paath Pe So Jaata Hoon


  1. Apne Chechre Se Jo Zaahir Hai Chupaayen Kaise
    Teri Marzi Ke Mutaabik Nazar Aayen Kaise

    Ghar Sajaane Ka Tasawwur Bahut Baad Ka Hai
    Pehle Ye Tay Ho Ke Is Ghar Ko Bachchayen Kaise

    Kar Kaha Aankh Ka Bartaav Badal Deta Hai
    Hansne Waale Tujhe Aansoo Nazar Aayen Kaise

    Koi Apnee Hi Nazar Se To Hume Dekhega
    Ek Qatre Ko Samandar Nazar Aayen Kaise

  1. Kabhi Aansoo Kabhi Khushi Bechi
    Hum Garibon Ne Bekasi Bechi

    Chand Saanse Khareedne Ke Liye
    Roz Thodi Si Zindagi Bechi

    Jab Rulaane Lage Mujhe Saayee
    Maine Uqta Ke Roshni Bechi

    Ek Hum The Ke Bik Gaye Khud Hi
    Warna Duniya Ne Dosthi Bechi

  1. Lab Pe Aati Hai Dua Banke Tamanna Meri
    Zindagi Shamma Ki Surat Ho Khuda Ya Meri

    Ho Mere Dum Se Yun Hi Mere Watan Ki Zeenat
    Jis Tarah Phool Se Hoti Hai Chaman Ki Zeenat

    Zindagi Ho Meri Parwaane Ki Surat Ya Rab
    Ilm Ki Shamma Se Ho Mujhko Mohabbat Ya Rab

    Ho Mera Kaam Garibon Ki Himaayat Karna
    Dard Mando Se Zaeefon Se Mohabbat Karna

    Mere Allaah Buraayee Se Bachchana Mujhko
    Nek Jo Raah Ho Uss Reh Pe Chalaana Mujhko

  1. Maa Sunao Mujhe Wo Kahani
    Jisme Raja Na Ho Na Ho Rani

    Jo Hamari Tumhari Katha Ho
    Jo Sabhi Ke Hriday Ki Gatha Ho
    Gandh Jisme Ho Apni Dhara Ki
    Baat Jisme Na Ho Apsara Ki
    Ho Na Pariyan Jahan Aasmaani

    Wo Kahani Ko Hasna Sikha De
    Pet Ki Bhookh Ko Bhi Mita De
    Jisme Sach Ki Bhari Chaandni Ho
    Jisme Um'meed Ki Roshni Ho
    Jisme Na Ho Kahani Puraani

  1. Mujh Mein Jo Kuch Achchha Hai Sab Uska Hai.
    Mera Jitna Charcha Hai Sab Uska Hai

    Uska Mera Rishta Bada Puraana Hai
    Maine Jo Kuch Socha Hai Sab Uska Hai

    Meree Aankhen Uski Noor Se Roshan Hai
    Maine Jo Kuch Dekha Hai Sab Uska Hai

    Maine Jo Kuch Khoya Tha Sab Uska Tha
    Maine Jo Kuch Paaya Hai Sab Uska Hai

    Jitnee Baar Main Toota Hoon Wo Toota Tha
    Idhar Udhar Jo Bikhra Hai Sab Uska Hai

    9.  Wo Rulakar Hans Na Paya Der Taq
         Jab Main Rokar Mushkuraaya Der Taq

         Bhoolna Chaaha Agar Usko Kabhi
         Aur Bhi Wo Yaad Aaya Der Taq

         Bhookhe Bachchon Ki Tasalli Ke Liye
         Maa Ne Phir Paani Pakaya Der Taq

        Gungunata Jaa Raha Tha Ik Fakeer
        Dhoop Rehti Hai Na Saaya Der Taq