Monday, 24 December 2012

Ecstasies

Album Name:
Ecstasies
Release Year:
1984
Company:
HMV
Genre:
Non Film
Songs:
  • Bahut Dinon Ki Baat Hai
  • Humko Dushman Ki Nighaon Se
  • Jawan Hai Raat Saqiya Sharab La
  • Mere Jaise Ban Jaoge
  • Paseene Paseene Hue Ja Rahe Ho
  • Tumne Sooli Pe Latakte Jise Dekha Hoga
Cover Page:





  1. Bahut Dinon Kee Baat Hai
    Fizaa Ko Yaad Bhi Nahin
    Ye Baat Aaj Kee Nahin
    Bahut Dinon Kee Baat Hai

    Shabaab Par Bahaar Thee
    Fizaa Bhi Khush-gawaar Thee
    Naa Jaane Kyoon Machal Pada
    Main Apne Ghar Se Chal Pada
    Kisi Ne Mujhko Rok'kar
    Badi Adaa Se Tok'kar
    Kaha Tha Laut Aae'iye
    Meri Kasam Naa Jaai'iye

    Par Mujhe Khabar Na Thee
    Maahol Par Nazar Na Thee
    Naa Jaane Kyoon Machal Pada
    Main Apne Ghar Se Chal Pada
    Main Shehar Se Phir Aa Gaya
    Khayal Thaa Ke Paa Gaya
    Us'e Jo Mujhse Door Thee
    Magar Meri Zaroor Thee

    Aur Ik Hasin Shaam Ko
    Main Chal Pada Salaam Ko
    Gali Ka Rang Dekh'kar
    Nayee Tarang Dekh'kar
    Mujhe Badi Khushi Huyee
    Main Kuch Isi Khushee Mein Tha
    Kisi Ne Jhaank'kar Kaha
    Paraaye Ghar Se Jaai'iye
    Meri Kasma Na Aai'iye

    Wahi Haseen Shaam Hai
    Bahaar Jiska Naam Hai
    Chala Hoon Ghar Ko Chodkar
    Na Jaane Jaaoonga Kidhar
    Koi Nahin Jo Tok'kar
    Koi Nahin Jo Rok'kar
    Kahe Ke Laut Aai'iye
    Meri Kasam Na Jaai'iye

  1. Humko Dushman Kee Nigahon Se Na Dekha Keeje
    Pyaar Hi Pyaar Hain Hum Humpe Bharosa Keeje

    Chand Yaadon Ke Siwa Haath Na Kuch Aayega
    Is Tarah Umr-e-gureza Ka Na Peecha Keeje

    Roshni Auron Ke Aangan Mein Gawara Na Sahee
    Kam Se Kam Apne Ghar Mein To Ujaala Keeje

    Kya Khabr Kab Wo Chale Aayenge Milne Ke Liye
    Roz Palkon Pe Nayee Shamme Jalaya Keeje

  1. Jawan Hai Raat Sakiya Sharaab La Sharaab La
    Zara Si Pyaas To Bujha Sharaab La Sharaab La

    Tere Shabab Par Sada Karam Rahe Bahaar Ka
    Tujhe Lage Meri Dua Sharaab La Sharaab La

    Yahan Koi Na Jee Saka Na Jee Sakega Hosh Mein
    Mitaa De Naam Hosh Ka Sharaab La Sharaab La

    Tera Bada Hi Shukriya Pilaaye Ja Pilaaye Ja
    Na Zikr Kar Hisaab Ka Sharaab La Sharaab La

  1. Mere Jaise Ban Jaoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega
    Diwaron Se Takraaoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega

    Har Baat Gawaara Kar Loge Mannat Bhi Ukara Loge
    Tabeejen Bhi Bandhwaaoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega

    Tanhaayee Ke Jhoole Jhoologe Har Baat Puraani Bhoologe
    Aayine Se Ghabraoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega

    Jab Sooraj Bhi Kho Jaayega Aur Chaand Kahin So Jaayega
    Tum Bhi Ghar Der Se Aaoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega

    Bechaini Jab Badh Jaayegi Aur Yaad Kisi Ki Aayegi
    Tum Meri Ghazalen Gaoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega

  1. Paseene Paseene Huye Jaa Rahe Ho
    Ye Bolo Kahan Se Chale Aa Rahe Ho

    Hamen Sabr Karne Ko Keh To Rahe Ho
    Magar Dekh Lo Khud Hi Ghabraa Rahe Ho

    Ye Kiskee Buri Tumko Nazar Lag Gayee Hai
    Baharon Ke Mausam Mein Murjha Rahe Ho

    Ye Aaina Hai Ye To Sach Hi Kahega
    Kyon Apni Haqeeqat Se Katraa Rahe Ho

  1. Tumne Sooli Pe Latakte Jise Dekha Hoga
    Waqt Aayega Wahi Shaksh Maseeha Hoga

    Khwaab Dekha Thaa Ke Sehra Mein Basera Hoga
    Kyaa Khabar Thi Ke Yahi Khwaab To Sachcha Hoga

    Main Fizaaon Mein Bikhar Jaaoonga Khushboo Bankar
    Rang Hoga Na Badan Hoga Na Chehra Hoga

Echoes

Album Name:
Echoes
Release Year:
1987
Company:
HMV
Genre:
Non Film
Songs:
  • Aap Ko Bhool Jayen Hum
  • Aisa Lagta Hai
  • Boliyan
  • Maana Ke
  • Main Chahta Bhi Yehi Tha
  • Main Khayal Hoon Kisi Aur Ka
  • Meri Jawani Dede
  • Safar Mein Dhoop To Hogi
  • Salaam Karta Chaloon
  • Shaayad
  • Shola Hoon
  • Tum Aao To Sahi
Cover Page:






  1. Aap Ko Bhool Jaayen Hum Itnin To Bewafa Nahin
    Aapse Kya Gila Karen Aapese Koi Gila Nahin

    Sisha-e-dil Ko Todna Unka To Ek Khel Hai
    Humse Hi Bhool Ho Gayee Unko Koi Khata Nahin

    Kaash Wo Apne Gham Mujhe De Den To Kuch Sukoon Mile
    Wo Kitna Bad-naseeb Hain Gam Hee Jise Mila Nahin

    Jurm Hai Gar Wafa To Kya, Kyoon Kar Wafa Ko Chod Doon
    Kehte Hain Is Gunaah Kee Hoti Koi Saja Nahin

  1. Aisa Lagta Hai Zindagi Tum Ho
    Ajnabee Kaise Ajnabee Tum Ho

    Ab Koi Aarzoo Nahin Baakee
    Justjoo Meri Aakhri Tum Ho

    Main Zameen Par Ghana Andhera Hoon
    Aasmaanon Ki Chandni Tum Ho

    Doston Se Wafa Ki Ummeeden
    Kis Zamaane Ke Aadmi Tum Ho

  1. O Bale Bale Ke Harya De Har Dak Laye,
    Tere Long Da Pya Liskara Ke,
    Harya Ne Har Dak Laye,

    Bale Bale We Jithe Tera Hal Vagda,
    Uthe Le Chal Charkha Mera,
    Jithe Tera Hal Vagda,

    O Bale Bale Ke Aakh Mere Yaar Ki Dukhe ,
    Lali Meriya Aakha Which Radke,
    Ke Aakh Mere Yaar Di Dukhe,

    Bale Bale Veh Doho Which Tu Basda,
    Kedi Aakh Which Surma Pawa,
    Doho Which Tu Basda

    O Bale Bale Ke Surga Nu Jaan Hatiya,
    Jind Yaar De Buhe Uthe Nikle,
    Surga Nu Jaan Hatiya,

    O Bale Bale Veh Aag Lawa Mangna Nu,
    Kuli Yaar De Tu Rakhda Jhuta,
    Veh Aag Lawa Mangyanu,

    O Bale Bale Ke Bhawe Meri Majh Bik Jaye,
    Tenu Chandi Da Tapit Gadha Du,
    Bhawe Meri Majh Bik Jaye,

    O Bale Bale Ki Chandi Da Ki Bhar Chakna,
    Menu Sone Da Tapit Ghada De,
    Ke Chandi Da Ki Bhar Chakna,

    O Bale Bale Ki Teri Meri Nayi Nibhni,
    Tu Tellan Main Suniyara,
    Teri Meri Nayi Nibhni,

    Bale Bale Ke Teri Meri Nibh Jayu Gi,
    Sare Telliya Di Chanj Kada De,
    Ke Teri Meri Nibh Jayugi.

  1. Maana Ke Musht-e-khak Se Badh Kar Nahin Hoon Main
    Lekin Hawa Ke Rehmo-karam Par Nahin Hoon Main

    Insaan Hoon Dhadkte Huye Dil Par Haath Rakh
    Yoon Doob Kar Na Dekh Samandar Nahin Hoon Main

    Chehre Pe Mal Raha Hoon Siyaahi Naseeb Ki
    Aaiynaa Haath Mein Hai Sikandar Nahin Hoon Main

    'Ghalib' Tere Zameen Mein Likhi To Hai Ghazal
    Tere Kad-e-sukhan Ke Baraabar Nahin Hoon Main

  1. Mai Chahta Bhi Yehi Tha, Wo Bewafaa Nikle
    Use Samajhne Ka Koi To Silsila Nikle

    Kitaab-e-maazi Ke Panne Ulat Ke Dekh Zara
    Na Jaane Kaun Sa Panna Muda Hua Nikle

    Jo Dekhne Mein Bahut Hee Karib Lagtaa Hai
    Usi Ke Baare Mein Socho To Faasila Nikle

  1. Mai.n Khayaal Huu.n Kisii Aur Kaa, Mujhe Sochataa Koii Aur Hai
    Sar-e-aaiinaa Meraa Aks Hai, Pas-e-aaiinaa Koii Aur Hai

    Mai.n Kisii Ke Dast-e-talab Me.n Huu.n, To Kisii Ke Harf-e-duaa Me.n Huu.n
    Mai.n Nasiib Huu.n Kisii Aur Kaa, Mujhe Maa.ngataa Koii Aur Hai

    Kabhii Laut Aaye.n To Na Puuchhanaa, Sirf Dekhanaa Ba.de Gaur Se
    Jinhe.n Raaste Me.n Khabar Huii Ki Ye Raastaa Koii Aur Hai

    Ajab Aitabaar-ba-aitabaarii Ke Daramiyaa.n Hai Zindagii
    Mai.n Kariib Huu.n Kisii Aur Ke, Mujhe Jaanataa Koii Aur Hai

    Vahii Mu.nsifo.n Kii Rivaayate.n, Vahii Faisalo.n Kii Ibaarate.n
    Meraa Jurm To Koii Aur Thaa, Par Merii Sazaa Koii Aur Hai

    Terii Roshanii Merii Khaddo-khaal Se Mukhtalif To Nahii.n Magar
    Tuu Qariib Aa Tujhe Dekh Luu.n, Tuu Vahii Hai Yaa Koii Aur Hai

  1. Denevaale Mujhe Maujo.n Kii Ravaanii De De
    Phir Se Ek Baar Mujhe Merii Javaanii De De

    Ab To Jaam Ho Saaqii Ho Mere Pahaluu Me.n
    Ko_ii To Shaam Mujhe Aisii Suhaanii De De

    Nashaa Aa Jaaye Mujhe Terii Javaanii Kii Qasam
    Tuu Agar Jaam Me.n Bhar Ke Mujhe Paanii De De

    Har Javaa.n Dil Mere Afasaane Ko Doharaataa Rahe
    Hashr Tak Khatm Na Ho Aisii Kahaanii De De

  1. Safar Me Dhoop To Hogi, Jo Chal Sako To Chalo
    Sabhi Hain Bheed Mein Tum Bhee Nikal Sako To Chalo

    Kisi Ke Waaste Raahen Kahan Badalti Hai
    Tum Apne Aap Ko Khud Hi Badal Sako To Chalo

    Yahan Kisi Ko Koi Raasta Nahin Deta
    Mujhe Gira Ke Agar Tum Sambhal Sako To Chalo

    Yahi Hai Zindagi Kuch Khwaab Chand Ummeeden
    Inhi Khilonon Se Tum Bhee Bahal Sako To Chalo

  1. Huzuur Aap Kaa Bhii Ehataraam Karataa Chaluu.n
    Idhar Se Guzaraa Thaa Sochaa Salaam Karataa Chaluu.n

    Nigaah-e-dil Kii Aakhirii Yahii Tamannaa Hai
    Tumhaarii Zulfo.n Ke Saaye Me.n Shaam Karataa Chaluu.n

    U.nhe.n Ye Zid Ki Mujhe Dekh Kar Kisii Ko Na Dekh
    Meraa Ye Shauq Ki Sab Se Salaam Karataa Chaluu.n

    Ye Mere Khvaabo.n Kii Duniyaa Nahii.n, Sahii Lekin
    Ab Aa Gayaa Huu.n To Do Din Kayaam Karataa Chaluu.n

  1. Phir Usii Raahaguzar Par Shaayad
    Ham Kabhii Mil Sake.n Magar Shaayad

    Jaan Pahachaan Se Kyaa Hogaa
    Phir Bhii Ai Dost Gaur Kar Shaayad

    Muntazir Jin Ke Ham Rahe Un Ko
    Mil Gaye Aur Hamasafar Shaayad

    Jo Bhii Bichha.de Hai.n Kab Mile Hai.n "faraz"
    Phir Bhii Tuu Intazaar Kar Shaayad

  1. Shola Ho Bhadakne Ki Guzaarish Nahin Karta
    Sach Muuh Se Nikal Jaata Hai Koshish Nahin Karta

    Girti Huyee Diwaar Ka Humdard Hoon Lekin
    Chadhte Huye Sooraj Ki Parasthish Nahin Karta

    Maathe Ke Paseene Ki Mahak Aaye Na Jaisi
    Wo Khoon Mere Jism Mein Gardish Nahin Karta

    Humdard Ye Ehbaab Se Darta Hoon 'muzaffar'
    Main Zakhm To Rakhta Hoon Numaish Nahin Karta

  1. Tum Ko Ham Dil Me.n Basaa Le.nge Tum Aao To Sahii
    Saarii Duniyaa Se Chhupaa Le.nge Tum Aao To Sahii

    Ek Vaadaa Karo Ab Ham Se Na Bhichha.doge Kabhii
    Naaz Ham Saare Uthaa Le.nge Tum Aao To Sahii

    Bevafaa Bhii Ho Sitamagar Bhii Jafaa Peshaa Bhii
    Ham Khudaa Tum Ko Banaa Le.nge Tum Aao To Sahii

    Raah Taariiq Hai Aur Duur Hai Manzil Lekin
    Dard Kii Shamae.n Jalaa Le.nge Tum Aao To Sahii

Desires

Album Name:
Desires
Release Year:
1989
Company:
Weston
Genre:
Non Film
Songs:
  • Abke Baras Bhi Woh
  • Baat Saqi Ki Na Tali
  • Din Aa Gaye Shabab Ke
  • Gulshan Ki Faqat Phoolon Se
  • Jab Naam Tera Payar Se
  • Kanton Ki Chuban Payee
  • Shamme Mazar Thi
  • Ulfat Ka Jab Kisi Ne Liya Naam
  • Yeh Kaisi Mohabbat
Cover Page:





  1. Ab Kii Baras Bhii Vo Nahii.n Aayaa Bahaar Me.n
    Guzaregaa Aur Ek Baras Intazaar Me.n


    Ye Aag Ishq Kii Hai Bujhaane Se Kyaa Bujhe
    Dil Tere Bas Me.n Hai Na Mere Ikhtiyaar Me.n


    Hai Tuute Dil Me.n Terii Mohabbat Teraa Khayaal
    Khush-ra.ng Hai Bahaar Jo Guzarii Bahaar Me.n


    Aa.nsuu Nahii.n Hai Aa.nkho.n Me.n Lekin Tere Bagair
    Vo Kaa.npate Huye Hai.n Dil-e-beqaraar Me.n

  1. Baat Saaqi Ki Na Taali Jaayegi
    Karke Tauba Tod Daali Jaayegi

    Dekh Lena Wo Na Khaali Jaayegi
    Aah Jo Dil Se Nikaali Jaayegi

    Gar Yahi Tarz-e-fugan Hai Andali
    To Bhi Gulshan Se Nikaali Jaayegi

    Aate Aate Aayega Unko Khayaal
    Jaate Jaate Bekhayali Jaayegi

    Kyoon Nahin Milti Gale Se Tegh-e-naaz
    Id Kya Ab Ke Bhi Khaali Jaayegi

  1. Din Aa Gaye Sabaab Ke Aanchal Sambhaaliye
    Hone Lagi Hai Shehar Mein Halchal Sambhaaliye

    Chaliye Sambhal Sambhal Ke Kathin Rah-e-ishq Hai
    Naazuk Badi Hai Aapki Paayal Sambhaaliye

    Saj Dhaj Ke Aap Nikle Sare Raah Khair Ho
    Takra Na Jaaye Aapka Paagal Sambhaaliye

    Ghar Se Naa Jaao Door Kisi Ajnabi Ke Saath
    Barsenge Jor-jor Se Baadal Sambhaaliye

  1. Gulshan Ki Faqat Phoolon Se Nahin Kaaton Se Bhi Zeenat Hoti Hai
    Jeene Ke Liye Is Duniya Mein Gham Ki Bhi Zaroorat Hoti Hai

    Ae Waaiz-e-naadan Karta Hai Tu Ek Qayamat Ka Charcha
    Yahan Roz Nigahen Milti Hain Yahan Roz Qayamat Hoti Hai

    Wo Pursish-e-gham Ko Ayae Hain Kuch Keh Na Sakoon Chup Reh Na Sakoon
    Khaamosh Rahoon To Mushkil Hai Keh Doon To Shikaayat Hoti Hai

    Karna Hi Padega Jabt-e-alam Peene Hi Padenge Ye Aansoo
    Fariyad-o-fugaan Se Ae Naadaan Tauheen-e-mohabbat Hoti Hai

    Jo Aake Ruke Daamal Pe Saba Wo Ashq Nahin Hai Paani Hai
    Jo Ashq Na Chalke Aankhon Se Us Ashq Ki Keemat Hoti Hai

  1. Jab Tera Naam Pyaar Se Likhti Hain Oongliyan
    Meri Taraf Zamaane Ki Uththi Hain Oongliyan

    Daaman Sanam Ka Haath Mein Aaya Tha Ek Pal
    Din Raat Uss Ek Pal Se Mehakthi Hain Oongliyan

    Jab Se Door Ho Gaye Ho Uss Din Se Hee Sanam
    Bas Din Tumhare Aane Ke Ginti Hain Oongliyan

    Patthar Taraash Kar Naa Bana Taj Ek Naya
    Fankaar Ke Zamaane Mein Katthi Hain Oongliyan

  1. Kaanton Ki Chubhan Paayee Phoolon Ka Maza Bhi
    Dil Dard Ke Mausam Mein Roya Bhi Hasa Bhi

    Aane Ka Sabab Yaad Na Jaane Ki Khabar Hai
    Wo Dil Mein Raha Aur Use Tod Gaya Bhi

    Har Ek Se Manzil Ka Pata Pooch Raha Hai
    Gumraah Mere Saath Hua Raahnuma Bhi

    'gumnaam' Kabhi Apno Se Jo Gam Huye Haasil
    Kuch Yaad Rahe Unme To Kuch Bhool Gaya Bhi

  1. Shamme Mazaar Thee Na Koi Sogwaar Tha
    Tum Jis Pe Ro Rahe The Wo Kiska Mazaar Thaa

    Tadpoonga Umr Bhar Dil-e-marhoom Ke Liye
    Kambakht Naamuraad Ladakpan Ka Yaar Thaa

    Jaadoo Hai Ya Tilism Tumhari Jubaan Mein
    Tum Jhoot Keh Rahe The Mujhe Aetbaar Thaa

    Kya Kya Hamari Sazde Kee Ruswaaeeyan Huyeen
    Nakshe-kadam Kisi Ka Sare Rehguzaar Thaa

  1. Ulfat Ka Jab Kisi Ne Liya Naam Ro Pade
    Apni Wafa Ka Soch Ke Anjaam Ro Pade

    Har Shaam Ye Sawaal Mohabbat Se Kya Mila
    Har Shaam Ye Jawwab Ke Har Shaam Ro Pade

    Raah-e-wafa Mein Humko Khushi Ki Talaash Thee
    Do Gaam Hi Chale The Ke Har Gaam Ro Pade

    Rona Naseeb Mein Hai To Auron Se Kya Gila
    Apne Hi Sar Liya Koi Ilzaam Ro Pade

  1. Ye Kaisi Mohabbat Kahan Ke Fasaane
    Ye Peene Pilaane Ke Sab Hain Bahaane

    Wo Daaman Ho Unka Ke Sun-saan Sehra
    Bas Humko To Aakhir Hain Aansoo Bahaane

    Ye Kisne Mujhe Masth Nazron Se Dekha
    Lage Khud-ba-khud Hi Kadam Lad-khadaane

    Chalo Tum Bhi 'gumnaam' Ab Maikade Mein
    Tumhe Dafn Karne Hain Kai Gham Puraane

Black Magic

Album Name:
Black Magic
Release Year:
1987
Company:
HMV
Genre:
Non Film
Songs:
  • Agar Hum Kahen Aur Who Muskraden
  • Hai Ikhtiar Mein Tere
  • Jab Bhi Tanhai Se Ghabra Ke
  • Jawani Ke Heelay Haya Ke Bahane
  • Mai Pilakar Aap Ka Kya Jayega
  • Patthar Ke Khuda
  • Yeh Bhi Kya Ehsaan Kam Hai
  • Yeh Kaya Jane Mein Jana Hai
Cover Page:






  1. Agar Hum Kahen Aur Wo Mushkura Dein,
    Hum Unke Liye Zindgaani Luta Dein

    Har Ik Mod Par Hum Gamon Ko Sazaa Dein,
    Chalo Zindagi Ko Mohabbat Bana Dein

    Agar Khud Ko Bhoole To Kuch Bhi Na Bhoole,
    Ke Chaahat Mein Unkee Khuda Ko Bhula Dein

    Kabhi Gam Kee Aandhee Jinhen Choo Na Paaye,
    Wafa Ke Hum Wo Nashe-man Bana Dein

    Qayaamat Ke Deewaane Kehte Hain Humse,
    Chalo Unke Chehre Se Parda Hata Dein

    Saza De Silaa De, Bana De Mitaa De,
    Magar Wo Koi Fiaslaa To Sunaa De

  1. Hai Ikhtiyaar Mein Tere To Mauj Sa Kar De,
    Wo Shakhs Mera Nahin Hai Usse Mera Kar De

    Mere Khizan Kahin Kahtm Hi Nahin Hota,
    Zara See Door Ro Rasta Hara Bhara Kar De

    Main Uske Shor Ko Dekhoon Wo Mera Sab,
    Mujhe Charag Bana De Usse Hawa Kar De

    Akeli Shaam Bahut Hi Udaas Karti Hai,
    Kisiko Bhej, Koi Mera Hum-nawa Kar De

  1. Jab Bhi Tanhaayee Se Ghabraake Simat Jaate Hain,
    Hum Teri Yaad Ke Daaman Se Lipat Jaate Hain

    Unpe Thoofan Ko Bhi Afsos Hua Karta Hai,
    Wo Safine Jo Kinaron Pe Ulat Jaate Hain

    Hum To Aaye The' Rahen Saakh Mein Phoolon Ki Tarah,
    Tum Agar Haar Samajhte Ho To Hat Jaate Hain

  1. Jawaani Ke Heele, Haya Ke Bahaane
    Ye Maana Ke Tum Mujhse Parda Karogi
    Ye Duniyan Magar Tujhsee Bholee Nahin Hai
    Chupaake Mohabbat Ko Ruswa Karogee

    Badi Koshishon Se, Badi Khwaahishon Se
    Tamanna Ke Sehmi Hui Saajishon Se
    Milega Jo Mauka To Be-chain Hokar
    Darichon Se Tum Mujhko Dekha Karogi

    Sataayegi Jab Chaandni Ki Udaasi
    Dukhaayegi Dil Jab Fizaa Ki Khamoshi
    Ufaq Ki Tarah Khaali Nazaren Jamaakar
    Kabhi Jo Na Socha Wo Socha Karogi

    Kabhi Dil Ki Dhadkan Mehsoos Hogi
    Kabhi Thandi Saason Ki Thoofaan Uthegi
    Kabhi Gir Ke Bishtar Pe Aahen Bharogi
    Kabhi Jhuk Ke Takiye Pe Roya Karogi

  1. Main Pilaakar Aapka Kya Jaayega
    Jaayega Eemaan Jiska Jaayega

    Dekhkar Mujhko Wo Sharmaa Jaayega
    Ye Tamaasha Kis-se Dekha Jaayega

    Jaaoon Buth-khaane Se Kyoon Kaabe Ko Main
    Haath Se Ye Bhi Thikaana Jaayega

    Qatl Ki Jab Usne Di Dhamki Mujhe
    Keh Diya Maine Bhi Dekha Jaayega

    Pee Bhi Le Do Ghoont Zaahid Pee Bhi Le
    Maiqade Se Kaun Pyaasa Jaayega

  1. Pathar Ke Khuda, Pathar Ke Sanam
    Pathar Ke Hi Insaan Paayen Hain
    Tum Sehre-e-mohabbat Kehte Ho
    Hum Jaan Bachcha-kar Aayen Hain

    But-khaana Samajhte Ho Jisko
    Puchcho Na Wahan Kyaa Haalat Hai
    Hum Log Wahin Se Laute Hain
    Bas Shukr Karo Laut Aaye Hain

    Hum Sonch Rahen Hain Muddat Se
    Ab Umr Guzaaren Bhi To Kahan
    Sehra Mein Khushi Ke Phool Nahin
    Shehron Mein Gamon Ke Saaye Hain

    Hothon Pe Tabassum Halqa Sa
    Aankhon Mein Nami Si A'e Faaqir
    Hum Aehle-e-mohabbat Par Aksar
    Aise Bhi Zamaane Aaye Hain

  1. Ye Bhi Kya Ehsaan Kam Hai Dekhiye Na Aap Ka
    Ho Raha Hai Har Taraf Charcha Humara Aap Ka

    Chaand Mein To Daag Hai Par Aape Mein Wo Bhi Nahin
    Chaudhwi Ke Chaand Se Badhke Hai Chechra Aap Ka

    Ishq Mein Aise Bhi Hum Doobe Huye Hain Aap-ke
    Apne Chechre Pe Sada Hota Hai Dhokha Aap Ka

    Chaand-suraj, Dhoop-subahah, Keh-kasha Taare-shama
    Har Ujaale Ne Churaaya Hai Ujaala Aap Ka

  1. Ye Kya Jaane Mein Jaana Hai, Jaate Ho Khafaa Hokar
    Main Jab Jaanoon, Mere Dil Se Chale-jaao Juda Hokar

    Qayaamat Taak Udegi Dil Se Uthkar Khaaq Aankhon Taq
    Isee Raste Gaya Hai Hasraton Ka Kaafila Hokar

    Tumhi Ab Dard-e-dil Ke Naam Se Ghabraaye Jaate Ho
    Tumhi To Dil Mein Shaayad Aaye The' Dard-e-aashiyan Hokar

    Yoonhi Hamdam Ghadi Bhar Ko Mila Karte Tho Behtar Tha
    Ke Dono Waqt Jaise Roz Milte Hain Juda Hokar
Album Name:
Birha Da Sultan
Release Year:
1984
Company:
HMV
Genre:
Punjabi
Songs:
  • Eh Mera Geet Kise Na Gaana
  • Ghamaan Di Raat
  • Jaach Mainu Aa Gayee Gham Khaan Di
  • Maye Ni Main Ik Shikra Yaar Banaya
  • Maye Ni Maye Mere Geetan De Nainan Vich
  • Raat Gayee Kar Tara
  • Rog Banke Reh Gaya
  • Tusin Kehri Rutte Aaye
  • Umraan De Sarwar
  • Yaariya Rab Karke
Cover Page:





  1. Eh Mera Geet Kise Na Gaana, Eh Mera Geet Kise Na Gaana,
    Eh Mera Geet Main Apye Gake, Palke Hi Mar Jana,

    Eh Mera Geet Dharat To Maila, Suraj Jaid Purana,
    Aut Janam To Paya Asa Nu, Isda Bool Handana,

    Hor Kisi Di Chan Na Kayi, Isnu Hoti Lana,
    Eh Ta Mere Naal Janmeya, Naal Bahisti Jana,

    Main Te Mere Geet Ne Doha, Jadh Padke Mar Jana,
    Birho De Ghar Jayiya, Sanu Kabri Laban Auna,

    Sab Na Sayia Ek Awaje, Mukho Bool Alana,
    Kisi Kisi De Lekhi Hoonda, Aida Dard Kamana

  1. Ghamaan Di Raat Lambi Ne,
    Ja Mere Geet Lambey Ne,
    Na Bhedi Raat Mukdi Hai,
    Na Mere Geet Mukde Ne,
    Aye Sar Kinne Ek Dunge Ne,
    Kise Ne Haath Na Payi,
    Na Barsatach Chadhe Ne,
    Te Na Aaura Sukhde Ne,

    Eh Phathan Ishq De Ne Yaaro,
    Enha Di Ki Dawa Honi,
    Eh Haath Laya Wi Dukhde Ne,
    Malamh Laya Wi Dukhde Ne

  1. Jaach Mainu Aa Gayee, Gham Khaan Di,
    Hole Hole Ro Ke Je Bharchan Di,

    Changa Hoya Tu Paraya Ho Gayo,
    Much Gayi Chinta Tenu Apnan Di,

    Marte Jaan Par Daar Hai, Damma Waleyo,
    Dhart Wi Bikdi Hai, Mulh Sham Shan Di,

    Na Karo Shiv Di Udassi Da Ilaaj,
    Rone Di Marji Hai Aaj Beyman Di

  1. Maye Ni Maye,
    Main Ek Shikra Yaar Banaya,
    Ude Siir De Kalgi,
    Te Ude Paryi Jhanzar,
    O Chog Chugida Aya,
    Ek Ude Rup Di Dhup Tikheri,
    Duja Mayka Da Thirhaya,
    Tiga Uda Rang Gulabi,
    O Kisi Gori Maa Da Jaya,
    Ishqe Da Ek Palang Nawa Vi,
    Weh Asa Chanan Us Chadaya,
    Kal Di Chadar Ho Gayi Maili,
    Weh Us Pair Ja Pal De Paya,
    Dukhan Vele Nayna De Koye,
    Te Which Had Hanjua Da Aya,
    Sari Raat Gayi Which Socha,
    Us Aye Ki Julm Kamaya,
    Subha Savere Layni Vatna,
    We Asa Mal Mal Us Navaya,
    Dehi De Which Niklan Chinga,
    Ni Sada Haath Gaya Kumblaya,
    Churi Kuta Ta O Khanda Nahi,
    Weh Asa Dil Da Mas Khawaya,
    Ek Udari Aisi Mari,
    O Mud Vatni Na Aya,
    O Maye Ni,
    Main Ek Shikra Yaar Banaya

  1. Maye Ni Maye Mere,
    Gaatan De Nainah Which,
    Birhan Di Radak Pawe,

    Adhi Adhi Raati Uth,
    Raun Moye Mitra Nu,
    Maye Sanu Neend Na Pawe,

    Bhey Bhey Shugandhiyach,
    Banna Phechan Ni Main,
    Tawi Sadi Peed Na Sahe,

    Kose Kose Saha Wi Main,
    Kara Je Takor Maye,
    Sago Sanu Khawn Nu Pawe,

    Apye Ni Main Balni,
    Main Hale Aap Mata Jogi,
    Mat Kada Isnu Dawey,

    Aakh Suni Mayeji Nu,
    Roye Bhool Chith Ke Ni,
    Jaag Kite Sun Na Lawe,

    Aakh Maye Adhi Adhi,
    Raati Moye Mitra De,
    Uchi Uchi Na Na Lawe,

    Mate Sade Moya Pichu,
    Jaag Yeh Sarikda Ni,
    Geeta Nu Wi Chandra Kahe

  1. Raat Gayee Kar Tara Tara,
    Hoya Dil Da Darad Adhara,

    Aakha Hoyia Hanju Hanju,
    Dil Da Shisha Para Para,

    Hun Ta Mere Do Hi Saathi,
    Ek Hoka Ek Hanju Khara,

    Marna Chaaya Maut Na Aayi,
    Maut Wi Mainu De Gayi Lara

  1. Rog Banke Reh Gaya Hai, Pyaar Tere Shar Da,
    Main Masihya Wekhya, Beemar Tere Shar Da,

    Ediya Galiya Meri, Chadi Jawani Kha Layi,
    Kyu Kara Na Dosta, Satkar Tere Shehar Da,

    Jithe Moya Bad Bhi, Kafan Nahi Hoya Naseeb,
    Kaun Pagal Hun Kare, Eithbar Tere Shehar Da,

    Ethe Meri Lash Tak, Neelam Kar Diti Gayi,
    Lathya Karza Na, Phir Bhi Yaar Tere Shehar Da

  1. Tusin Kedi Rutte Aaye, Mere Ram Jiyo,
    Jado Bagi Phool Kumbhalaye,
    Mare Ram Jiyo,

    Kithe Soo Jat Aang Aang Sade, Rut Jogan Di Holi,
    Kithe Soo Jat Tan Man Sade, Gayi Pakuri Holi,
    Kithe Soo Jat Sawach Chamba, Chetar Beetan Aaye,
    Mere Ram Jiyo,

    Kithe Soo Mere Prabhuji Jagye, Kanjak Jind Nimani,
    Neem Pyaasi Rup Sada Ta, Peke Khali Pani,
    Kithe Soo Jat Tardi Babul, Sade Saath Rachaye,
    Mere Ram Jiyo,

    Kithe Soo Jat Na Tuk Di Te, Sawan Mahine Bite,
    Kithe Soo Jat Maeyka De Asa, Bet Chamkiye Phike,
    Kithe Soo Rutte Te Tusi Yu Na, Kyu Na Aye,
    Mere Ram Jiyo

  1. Umraan De Sarwar Sawa De Pani,
    Geeta Weh Chunj Bhari,

    Bharke Na Rayne Peeda De Chanan,
    Khawa De Haans Sari,

    Geeta De Umra De Sarwar Chaliye,
    Palchin Pal Suk Jande,

    Sawa De Pani Pile Le Re Adya,
    Bharh Jaye Aya Mit Jande,

    Bharke Na Sanu Dye Weh Ulambhana,
    Bharke Na Roj Kari,

    Howa De Hans Chunide Weh Moti,
    Dil Marda Ta Gande,

    Eh Birhu Rut Hanju Chugde,
    Chugde Te Ud Jande,

    Ayse Ude Mar Udari,
    Mud Na Aawn Ghari,

    Geeta De Chunj Bjare Ta Mai Teri,
    Soni Chunj Madawa,

    Mai Chandri Teri Bharditi Ha,
    Naal Kiwe Parchawa,

    Hadayi Weh Na Tu Birhaya,
    Mere Mang Mari

  1. Yaaran Aa Rab Karke Mainu,
    Paiyen Birhun De Kide Weh,
    Maina Weh Do Sangli Buhe,
    Jaan Sada Laye Bhide Weh,
    Yarran Aa,

    Yada Da Ek Chang Matida,
    Sada Layi Suk Jawe Weh,
    Khidiya Roko Mere Diya Kamiya,
    Aa Koi Dhor Lakire Weh,
    Yarran Aa,

    Banh Diti Weh Chawan Bidi,
    Jad Tera Cheta Awe Re,
    Aisa Sard Bharaw Main Hawka,
    Tut Jawan Mere Bide Weh,
    Yaaran Aa,

    Koi Shagana Di Meri Mehandi,
    Jadu Di Ho Jawe Weh,
    Har Sagana De Mere Ghar Koi,
    Peed Bharauni Awe Weh,
    Yarran Aa

Ashiana

Album Name:
Ashiana
Release Year:
1986
Company:
HMV
Genre:
Film
Songs:
  • Humsafar Ban Ke Hum
Cover Page:





  1. Humsafar Banke Hum Saath Hain Aaj Bhee
    Fir Bhee Hai Ye Safar Ajnabi Ajnabi
    Raah Bhee Ajnabi Mod Bhee Ajnabi
    Jaayen Hum Kidhar Ajnabi Ajnabi

    Zindagi Ho Gayee Hai Sulagta Safar
    Door Tak Aa Raha Hai Dhuaan Sa Nazar
    Jaane Kis Mod Par Kho Gayee Har Khushi
    Deke Dard-e-jigar Ajnabi Janabi

    Humne Chun Chun Ke Tinke Banaaya Tha Jo
    Aashiyaan Hasraton Se Sajaaya Tha Jo
    Hai Chaman Mein Wahi Aashiyaan Aaj Bhee
    Lag Raha Hai Magar Ajnabi Ajnabi

    Kisko Maaloom Tha Din Ye Bhee Aayenge
    Mausamon Kee Tarah Dil Badal Jaayenge
    Din Hua Ajnabi Raat Bhee Ajnabi
    Har Ghadi Har Pahar Ajnabi Ajnabi

Saturday, 15 December 2012

Beyond Time

Album Name:
Beyond Time
Release Year:
1988
Company:
HMV
Genre:
Non Film
Songs:
  • Apni Aag Ko Zinda Rakhna
  • Apni Aankho Ke Samunder Mein
  • Jahan Jahan Mujhe Sehra
  • Jhoothi Sachchi Aas Pe Jeena
  • Lab-e-khamosh Se
  • Log Har Mode Pe
  • Mer Dil Bhi Shauq Se Todo
  • Neend Se Aankh Khuli Hai
  • Saare Badan Ka Khoon
  • Samne Hai Jo Use
  • Shayad Aa Jayaga Saqi Ko Taras
  • Yeh Karen Aur Who Karen
Cover Page:





  1. Apni Aag Ko Zinda Rakhna Kitna Mushkil Hai,
    Patthar Beech Aaeeena Rakhna Kitna Mushkil Hai

    Kitna Aasaan Hai Tasveer Banaana Auron Kee,
    Khud Ko Pase-aaeenaa Rakhna Kitna Mushkil Hai

    Tumne Mandir Dekhe Honge Ye Mera Aangan Hai,
    Ek Diya Bhee Jalta Rakhna Kitna Mushkil Hai

    Chullu Mein Ho Dard Ka Dariya Dhyaan Mein Uske Honth,
    Yun Bhee Khud Ko Pyaasa Rakhna Kitna Mushkil Hai

  1. Apni Aankho Ke Samundar Mein Utar Jaane De,
    Tera Mujrim Hoon Mujhe Doob Ke Mar Jaane De

    Ay Nayey Dosth Main Samjhoonga Tujhe Bhee Apna,
    Pehle Maazi Ka Koi Zakhm To Bhar Jaane De

    Aag Duniya Ki Lagayee Hui Bhuj Jayeygee,
    Koi Aansoo Mere Daaman Pe Bikhar Jaane De

    Zakhm Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujko,
    Sonchtaa Hoon Ki Kahoon Tujhse Magar Jaane De

  1. Jahan Jahan Mujhe Sehra Dikhayee Deta Hai,
    Meri Tarah Se Akela Dikhayee Deta Hai

    Yeh Ek Abr Ka Tukda Kahan Kahan Barse,
    Tamam Dasht Hi Pyaasa Dikhayee Deta Hai

    Yeh Kis Maqaam Pe Laayee Hai Justjoo Teri,
    Jahan Se Arsh Bhi Nicha Dikhayee Deta Hai

  1. Jhoothi Sachchi Aas Pay Jeena Kab Tak Aakhir Aakhir Kab Tak,
    Mai Ki Jagah Khoon-e-dil Peena Kab Tak Aakhir Aakhir Kab Tak

    Saucha Hai Ab Paar Utraingay Ya Takra Kar Doob Marenge,
    Toofanon Ki Zad Pay Safeena Kab Tak Aakhir Aakhir Kab Tak

    Ek Maheene Ke Waade Par Saal Guzaara Phir Bhi Na Aaye,
    Waade Ka Yeh Ek Maheena Kab Tak Aakhir Aakhir Kab Tak

    Saamnay Duniya Bhar Ke Gham Hain Aur Idhar Ik Tanha Hum Hain,
    Sainkdo Pathar Ik Aaiana Kab Tak Aakhir Aakhir Kab Tak

  1. Lab-e-khaamosh Se Izhaar-e-tamanna Chaahe,
    Baat Karne Ko Bhee Tasveer Ka Lehja Chaahe

    Tu Chale Saath To Aahat Bhee Na Aaye Apni,
    Dar Mein Aahan Bhee Na Ho Yun Tujhe Tanha Chaahe

    Khwaab Mein Roye To Ehsaas Ho Sairaabi Ka,
    Ret Par Soyen Magar Aankh Mein Dariya Chaahe

    Aise Tairaaq Bhee Dekhe Hain 'muzaffar' Humne,
    Gharq Hone Ke Liye Bhee Jo Sahara Chaahe

  1. Log Har Mod Pe Ruk Ruk Ke Sambhalte Kyoon Hain,
    Itna Dartay Hain To Phir Ghar Say Nikaltay Kyoon Hain

    Main Na Jugnu Hoon Diya Hoon Na Koi Tara Hoon,
    Roshni Vaalay Meray Naam Say Jaltay Kyoon Hain

    Neend Se Mera Taaluq Hi Nahin Barso Sein,
    Khawab Aa Aa Kay Meri Chhat Pay Tehltay Kyoon Hain

    Mod Hotaa Hai Jawaani Ka Sambhalne Kay Liye,
    Aur Sab Log Yahin Aa Kay Fisaltay Kyoon Hain

  1. Mera Dil Bhi Shauk Say Todo Ek Tajurba Aur Sahee,
    Lakh Khilonay Tod Chukay Ho Ek Khilona Aur Sahee

    Raat Hai Gham Ki Aaj Bhuja Do Jalta Hua Har Ek Chirag,
    Dil Mein Andhera Ho Hi Chuka Hai Ghar Mein Andhera Aur Sahee

    Dam Hai Niklta Ik Aashiq Ka Bheed Hai Aa Kar Dekh To Lo,
    Lakh Tamashay Dekhay Hongay Ek Nazaara Aur Sahee

    Khanjar Ley Kar Saunchtay Kya Ho Qatl `murad' Bhi Kar Daalo,
    Daag Hain Sau Daaman Pe Tumharay Ek Izaafa Aur Sahee

  1. Neend Se Aankh Khuli Hai Abhi Dekha Kya Hai,
    Dekh Lena Abhi Kuch Der Mein Duniya Kya Hai

    Baandh Rakha Hai Kisee Sonch Ne Ghar Say Humko,
    Varna Apna Dar-o-deewar Se Rishta Kya Hai

    Ret Ki Eent Ki Pathar Ki Hoon Ya Mitti Ki,
    Kisi Deewar Ke Saye Ka Barosa Kya Hai

    Apni Daanist Me Samjhay Koi Duniya `shahid',
    Warna Hathon Mein Lakiron Ke Ilaawa Kya Hai

  1. Saare Badan Ka Khoon Paseene Mein Jal Gaya,
    Itna Chale Ke Jism Hamara Pighal Gaya

    Chalthehi Gin Rahe The' Museebat Ke Raat Din,
    Dam Lene Hum Jo Baith Gaye Dam Nikal Gaya

    Achha Hua Jo Raah Mein Thokar Lagee Humen,
    Hum Gir Pade To Saara Jamaana Sambhal Gaya

    Wehshat Mein Koi Saath Humara Na De Saka,
    Daaman Ke Fikr Kee To Garebaan Nikal Gaya

  1. Saamne Hai Jo Usey Log Bura Kehte Hain,
    Jisko Dekha Hee Nahi Usko Khuda Kehte Hain

    Zindagi Ko Bhee Sila Kehte Hain Kehne Waale,
    Jeene Waale To Gunaahon Kee Saza Kehte Hain

    Faasile Umr Ke Kuch Aur Badha Deti Hai,
    Jaaney Kyoon Log Use Phir Bhee Dawa Kehte Hain

    Chand Masoom Se Patton Ka Lahoo Hai `fakir',
    Jisko Mehboob Ke Haathon Ki Hina Kehte Hain

  1. Shaayad Aa Jaayega Saaqi Ko Taras Ab Ke Baras,
    Mil Na Paya Hai Un Aankhon Ka Bhi Ras Ab Ke Baras

    Aisi Chaayi Thi Kahan Gham Ki Ghatayen Pehle,
    Haan Mere Deedar Tar Khoob Baras Ab Ke Baras

    Oof Wo Un Umad Bhari Aankhon Ke Chlakthe Huye Jaam,
    Badh Gayi Aur Bhi Peene Ki Hawas Ab Ke Baras

    Pehle Ye Kab Tha Ki Wo Mere Hain Main Unka Hoon,
    Unki Yaadon Ne Sataya Hai Tho Bas Ab Ke Baras

  1. Ye Karen Aur Wo Karen Aisa Karen Waisa Karen,
    Zindagi Do Din Ki Hai Do Din Mein Hum Kya Kya Karen

    Jee Mein Aaata Hai Ki Dein Parde Se Parde Ka Jawaab,
    Hum Se Wo Parda Karen Duniyaa Se Hum Parda Karen

    Sun Raha Hoon Kuch Lutere Aa Gayey Hain Shehar Mein,
    Aap Jaldi Bandh Apne Ghar Ka Darwazaa Karen

    Is Puraani Be-wafa Duniya Ka Rona Kab Talak,
    Aaiyey Mil-jul Ke Ik Duniya Nayee Paida Karen

Arth

Album Name:
Arth
Release Year:
1982
Company:
HMV
Genre:
Film
Songs:
  • Jhuki Jhuki Si Nazar
  • Koi Yeh Kaise Bataye
  • Tere Khushboo Mein Base Khat
  • Too Nahin To Zindagi Mein Aur Kya Reah Jayega
  • Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho
Cover Page:





  1. Jhuki Jhuki Si Nazar Beqaraar Hai Ke Nahin
    Daba Daba Sa Sahee Dil Mein Pyaar Hai Ke Nahin

    Tu Apne Dil Ki Jawaan Dhadkanon Ko Gin Ke Bata
    Meri Tarah Tera Dil Beqaraar Hai Ke Nahin

    Wo Pal Ke Jis Mein Mohabbat Jawaan Hoti Hai
    Us Ek Pal Ka Tujhe Intezaar Hai Ke Nahin

    Teri Umeed Pe Thukraa Raha Hoon Duniya Ko
    Tujhe Bhee Apne Pe Ye Aitbaar Hai Ke Nahin

  1. Koi Ye Kaise Bataaye Ke Wo Tanha Kyoon Hai
    Wo Jo Apna Thaa Wahi Aur Kisi Ka Kyoon Hai
    Yahi Duniya Hai To Phir Aisee Ye Duniya Kyoon Hai
    Yahi Hota Hai To Aakhir Yahi Hota Kyoon Hai

    Ik Zara Haath Badha Den To Pakad Le Daaman
    Uske Seene Mein Sama Jaaye Hamari Dhadkan
    Itni Kurbat Hai To Phir Faaslaa Itna Kyoon Hai

    Dil-e-barbaad Se Nikla Nahin Ab Tak Koi
    Ik Loote Ghar Pe Diya Karta Hai Dastak Koi
    Aas Jo Toot Gayee Phir Se Bandhaata Kyoon Hai

    Tum Asarrat Ka Kaho Ya Ise Gham Ka Rishta
    Kehte Hain Pyaar Ka Rishta Hai Janam Ka Rishta
    Hai Janam Ka Jo Ye Rishta To Badalta Kyoon Hai

  1. Tere Khushbu Mein Basey Khat Main Jalaata Kaisey?
    Jinko Duniya Ki Nigahon Se Chupaaye Rakhaa,
    Jinko Ik Umr Kalejey Se Lagaaye Rakhaa,

    Jinka Har Lafz Mujhe Yaad Tha Pani Ki Tarah,
    Yaad They Mujhko Jo Paigaam-e-zubaani Ki Tarah,
    Mujh Ko Pyarey They Jo Anmol Nishaani Ki Tarah.

    Tuune Duniya Ki Nigahon Se Jo Bachakar Likhey,
    Saalahaa-saal Mere Naam Baraabar Likhey.
    Kabhi Din Mein Toh Kabhi Raat Mein Uthkar Likhey

    Tere Khushbu Mein Basey Khat Main Jalaata Kaisey?
    Pyar Mein Duubey Huye Khat Main Jalaata Kaisey?
    Tere Haathon Ke Likhey Khat Main Jalaata Kaisey?

    Tere Khat Aaj Main Ganga Mein Bahaa Aayaa Hoon,
    Aag Behetey Hue Paani Mein Lagaa Aayaa Hoon.

  1. Too Nahin To Zindagi Mein Aur Kya Reh Jaayega
    Door Tak Tanhaaeeyon Ka Silsila Reh Jaayega

    Dard Ki Saari Tahe Aur Saare Guzre Haadse
    Sab Dhooan Ho Jaayenge Ik Faakeya Reh Jaayega

    Yun Bhee Hoga Wo Mujhe Dil Se Bhula Dega Magar
    Ye Bhee Hoga Khud Usee Mein Ik Khala Reh Jaayega

    Daayre Inkaar Ke Iqraar Kee Sargoshiyaan
    Ye Agar Toote Kabhee To Faaslaa Reh Jaayega

  1. Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho
    Kya Gham Hai Jisko Chupaa Rahe Ho

    Aankhon Mein Namee Hansi Labon Par
    Kya Haal Hai Kya Dikhaa Rahe Ho

    Ban Jaayenge Zaher Peete Peete
    Ye Ashq Jo Peete Rahe Ho

    Jin Zakhmon Ko Waqt Bhar Chala Hai
    Tum Kyoon Unhe Chede Jaa Rahe Ho

    Rekhaaon Ka Khel Hai Muqqaddar
    Rekhaaon Se Maat Khaa Rahe Ho

A Sound Affair

Album Name:
A Sound Affair
Release Year:
1985
Company:
HMV
Genre:
Non Film
Songs:
  • Aye Khuda Raet Ke Sehra Ko
  • Kabhi Guncha Kabhi Shola
  • Kabhi To Khul Ke Baras
  • Manzil Na De Chirag Na De
  • Socha Nahin Achha Bura
  • Tere Khushboo Mein Base Khat
  • Yeh To Nahin Ke Gham Nahin
Cover Page:






  1. Ae Khuda Ret Ke Sehra Ko Samandar Kar De,
    Ya Chhalakti Aankhon Ko Bhi Patthar Kar De

    Tujhko Dekha Nahin Mehsoos Kiya Hai Maine,
    Aa Kisi Din Mere Ehsaas Ka Paikar Kar De

    Aur Kuch Bhi Mujhe Darkaar Nahin Hai Lekin,
    Meri Chaadar Mere Pairon Ke Baraabar Kar De

  1. Kabhi Guncha Kabhi Shola Kabhi Shabnam Kee Tarah,
    Log Milte Hain Badalte Huye Mausam Kee Tarah

    Mere Mehboob Mere Pyaar Ko Ilzaam Na De,
    Hijr Mein Eed Manaayee Hai Moharrum Ki Tarah

    Maine Khushboo Kee Tarah Tujhko Kiya Hai Mehsoos,
    Dil Ne Chheda Hai Teri Yaad Ko Shabnam Ki Tarah

    Kaise Ham-dard Ho Tum Kaisee Masihaayee Hai,
    Dil Pe Nashtar Bhi Lagaate Ho To Marham Ki Tarah

  1. Kabhi To Khul Ke Baras Ab Ke Meherbaan Ki Tarah,
    Mera Wazood Hai Jalte Huye Makan Kee Tarah

    Main Ik Khwaab Sahee Aapki Amaanat Hoon,
    Mujhe Sambhaal Ke Rakhiyegaa Jism-o-jaan Ki Tarah

    Kabhi To Soch Ke Wo Saksh Kis Kadar Tha Buland,
    Jo Bichh Gaya Tere Kadmon Mein Aasmaan Ki Tarah

    Bula Rahaa Hai Mujhe Fir Kisi Badan Ka Basanth,
    Guzar Na Jaaye Ye Ruth Bhi Kahin Khizaan Ki Tarah

  1. Manzil Na De Charaag Na De Hauslaa To De,
    Tinke Ka Hi Sahee Tu Magar Aasraa To De

    Maine Ye Kab Kaha Ke Mere Haq Mein Ho Jawaab,
    Lekin Khamosh Kyoon Hai Tu Koi Faislaa To De

    Barson Main Tere Naam Pe Khaata Raha Fareb,
    Mere Khuda Kahan Hai Tu Apna Pata To De

    Beshaq Mere Naseeb Pe Rakh Apnaa Ikhtiyaar,
    Lekin Mere Naseeb Mein Kya Hai Bata To De

  1. Socha Nahin Achcha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahin,
    Maanga Khuda Se Raat Din Tere Siwa Kuch Bhi Nahin

    Dekha Tujhe Socha Tujhe Chaaha Tujhe Pooja Tujhe,
    Meri Khata Meri Wafa Teri Khata Kuch Bhi Nahin

    Jispar Hamari Aankh Ne Moti Bichchaaye Raat Bhar,
    Bheja Wohi Kaagaz Tujhe Humne Likha Kuch Bhi Nahin

    Ek Shaam Ki Dahleez Par Baithe Rahe Wo Der Taq,
    Aankhon Se Kee Baaten Bahot Humne Kaha Kuch Bhi Nahin

  1. Tere Khushbuu Me.n Base Khat Mai.n Jalaataa Kaise
    Pyaar Me.n Duube Huye Khat Mai.n Jalaataa Kaise
    Tere Khat Aaj Mai.n Gangaa Me.n Bahaa Aayaa Huu.n
    Aag Bahate Hue Paanii Me.n Lagaa Aayaa Huu.n

    Jin Ko Duniyaa Kii Nigaaho.n Se Chhupaaye Rakhaa
    Jin Ko Ik Umr Kaleje Se Lagaaye Rakhaa
    Diin Jin Ko, Jinhe.n Iimaan Banaaye Rakhaa

    Tune Duniyaa Kii Nigaaho.n Se Jo Bachkar Likhe
    Saalahaa-saal Mere Naam Baraabar Likhe
    Kabhii Din Me.n To Kabhii Raat Me.n Uthakar Likhe

    Pyaar Me.n Duube Huye Khat Mai.n Jalaata Kaise
    Tere Haatho.n Ke Likhe Khat Mai.n Jalaata Kaise
    Tere Khat Aaj Mai.n Gangaa Me.n Bahaa Aayaa Huu.n
    Aag Bahate Huye Paannii Me.n Lagaa Aayaa Huu.n

  1. Yeh To Nahin Ke Gam Nahin,
    Haan Meri Aankh Nam Nahin

    Tum Bhi To Tum Nahin Ho Aaj,
    Hum Bhi To Aaj Hum Nahin

    Ab Na Khushi Kee Hai Khushi,
    Gam Ka Bhi Ab To Gam Nahin

    Maut Agar Che-maut Hai,
    Maut Se Zeest Kam Nahin