Saturday, 15 December 2012

A Sound Affair

Album Name:
A Sound Affair
Release Year:
1985
Company:
HMV
Genre:
Non Film
Songs:
  • Aye Khuda Raet Ke Sehra Ko
  • Kabhi Guncha Kabhi Shola
  • Kabhi To Khul Ke Baras
  • Manzil Na De Chirag Na De
  • Socha Nahin Achha Bura
  • Tere Khushboo Mein Base Khat
  • Yeh To Nahin Ke Gham Nahin
Cover Page:






  1. Ae Khuda Ret Ke Sehra Ko Samandar Kar De,
    Ya Chhalakti Aankhon Ko Bhi Patthar Kar De

    Tujhko Dekha Nahin Mehsoos Kiya Hai Maine,
    Aa Kisi Din Mere Ehsaas Ka Paikar Kar De

    Aur Kuch Bhi Mujhe Darkaar Nahin Hai Lekin,
    Meri Chaadar Mere Pairon Ke Baraabar Kar De

  1. Kabhi Guncha Kabhi Shola Kabhi Shabnam Kee Tarah,
    Log Milte Hain Badalte Huye Mausam Kee Tarah

    Mere Mehboob Mere Pyaar Ko Ilzaam Na De,
    Hijr Mein Eed Manaayee Hai Moharrum Ki Tarah

    Maine Khushboo Kee Tarah Tujhko Kiya Hai Mehsoos,
    Dil Ne Chheda Hai Teri Yaad Ko Shabnam Ki Tarah

    Kaise Ham-dard Ho Tum Kaisee Masihaayee Hai,
    Dil Pe Nashtar Bhi Lagaate Ho To Marham Ki Tarah

  1. Kabhi To Khul Ke Baras Ab Ke Meherbaan Ki Tarah,
    Mera Wazood Hai Jalte Huye Makan Kee Tarah

    Main Ik Khwaab Sahee Aapki Amaanat Hoon,
    Mujhe Sambhaal Ke Rakhiyegaa Jism-o-jaan Ki Tarah

    Kabhi To Soch Ke Wo Saksh Kis Kadar Tha Buland,
    Jo Bichh Gaya Tere Kadmon Mein Aasmaan Ki Tarah

    Bula Rahaa Hai Mujhe Fir Kisi Badan Ka Basanth,
    Guzar Na Jaaye Ye Ruth Bhi Kahin Khizaan Ki Tarah

  1. Manzil Na De Charaag Na De Hauslaa To De,
    Tinke Ka Hi Sahee Tu Magar Aasraa To De

    Maine Ye Kab Kaha Ke Mere Haq Mein Ho Jawaab,
    Lekin Khamosh Kyoon Hai Tu Koi Faislaa To De

    Barson Main Tere Naam Pe Khaata Raha Fareb,
    Mere Khuda Kahan Hai Tu Apna Pata To De

    Beshaq Mere Naseeb Pe Rakh Apnaa Ikhtiyaar,
    Lekin Mere Naseeb Mein Kya Hai Bata To De

  1. Socha Nahin Achcha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahin,
    Maanga Khuda Se Raat Din Tere Siwa Kuch Bhi Nahin

    Dekha Tujhe Socha Tujhe Chaaha Tujhe Pooja Tujhe,
    Meri Khata Meri Wafa Teri Khata Kuch Bhi Nahin

    Jispar Hamari Aankh Ne Moti Bichchaaye Raat Bhar,
    Bheja Wohi Kaagaz Tujhe Humne Likha Kuch Bhi Nahin

    Ek Shaam Ki Dahleez Par Baithe Rahe Wo Der Taq,
    Aankhon Se Kee Baaten Bahot Humne Kaha Kuch Bhi Nahin

  1. Tere Khushbuu Me.n Base Khat Mai.n Jalaataa Kaise
    Pyaar Me.n Duube Huye Khat Mai.n Jalaataa Kaise
    Tere Khat Aaj Mai.n Gangaa Me.n Bahaa Aayaa Huu.n
    Aag Bahate Hue Paanii Me.n Lagaa Aayaa Huu.n

    Jin Ko Duniyaa Kii Nigaaho.n Se Chhupaaye Rakhaa
    Jin Ko Ik Umr Kaleje Se Lagaaye Rakhaa
    Diin Jin Ko, Jinhe.n Iimaan Banaaye Rakhaa

    Tune Duniyaa Kii Nigaaho.n Se Jo Bachkar Likhe
    Saalahaa-saal Mere Naam Baraabar Likhe
    Kabhii Din Me.n To Kabhii Raat Me.n Uthakar Likhe

    Pyaar Me.n Duube Huye Khat Mai.n Jalaata Kaise
    Tere Haatho.n Ke Likhe Khat Mai.n Jalaata Kaise
    Tere Khat Aaj Mai.n Gangaa Me.n Bahaa Aayaa Huu.n
    Aag Bahate Huye Paannii Me.n Lagaa Aayaa Huu.n

  1. Yeh To Nahin Ke Gam Nahin,
    Haan Meri Aankh Nam Nahin

    Tum Bhi To Tum Nahin Ho Aaj,
    Hum Bhi To Aaj Hum Nahin

    Ab Na Khushi Kee Hai Khushi,
    Gam Ka Bhi Ab To Gam Nahin

    Maut Agar Che-maut Hai,
    Maut Se Zeest Kam Nahin

No comments:

Post a Comment