Sunday, 2 December 2012

Face to Face


Album Name:Face to Face
Release Year:1994
Company:Magnasound
Genre:Non Film
Songs:

  • Be-sabab Baat
  • Dairo Haram Main Basne Walo
  • Koi Mausam Easa Aaye
  • Pyar Ka Pehla Khat
  • Sachhi Baat Kahi Thi
  • Shekh Ji
  • Tum Ne Badle Hamse
  • Zindagi Ai Zindagi
  • Zindagi Tune Lahoo Le Ke
Cover Page:






  1. Be Sabab Bat Badhane Ki Zaroorat Kya Hai
    Hum Khafa Kab The Manane Ki Zaroorat Kya Hai

    Aap Ke Dam Se To Duniya Ka Bharam Hai Qayam
    Aap Jab Hain To Zamane Ki Zaroorat Kya Hai

    Tera Koocha, Tera Dar, Teri Gali Kafi Hai
    Be-thikanon Ko Thikane Ki Zaroorat Kya Hai

    Dil Se Milne Ki Tamanna Hi Nahin Jab Dil Mein
    Hath Se Hath Milane Ki Zaroorat Kya Hai
    Rang Aankhoon Ke Liye, Boo Hai Damaghoon Ke Liye
    Phol Ko Haath Lagane Ki Zaroorat Kya Hai

  1. Dair-o-haram Main Basne Walo
    Mai Kharon Mein Photo Na Dalo

    Toofan Se Hum Takraenge
    Tum Apni Kashti Ko Sambhalo

    Maikhane Mein Aaye Wayez
    In Ko Bhi Insane Bano Lo

    Aariz-o-lab Sada Rahne Do
    Taj Mahal Pe Rang Na Dalo

  1. Koi Mausam Aisa Aaey
    Us Ko Apne Saath Jo Laaey

    Logon Se Taareef Suni Hai
    Us Se Mil Kar Dekha Jaaey

    Aaj Bhi Par Bojh Bahut Hai
    Aaj Bhi Shayad Neend Na Aaey

    Hal Hai Dil Ka Jugnoo Jaisa
    Jalta Jaiy Bujhta Jaaey
    Beete Lamhey Kuchh Aise Hain
    Khushboo Jaise Haat Na Aaey

  1. Pyar Ka Pahala Khat Likhne Mein, Waqt To Lagta Hai
    Naye Parindonko Udhne Mein Waqt To Lagta Hai

    Jism Ki Baat Nahin Thi, Us Ke Dil Tak Jaana Tha
    Lambi Doori Tai Karne Mein Waqt To Lagta Hai

    Ganth Agar Lag Jaye To Phir Rishte Hon Ya Dori
    Laakh Karen Koshish Khulne Mein Waqt To Lagta Hai

    Hum Ne Ilaaj-e-zakam-e-dil To Dhoondh Liya Lekin
    Gahre Zakhmon Ko Bharne Mein Waqt To Lagta Hai 

  1. Sachchi Baat Kahi Thi Maine
    Logon Ne Sooli Pe Chadhaya
    Mujh Ko Zahr Ka Jam Pilaya
    Phir Bhi Un Ko Chain Na Aaya

    Sachchi Baat Kahi Thi Maine
    Le Ke Jahan Bhi, Waqt Gaya Hai
    Zulm Mila Hai, Zulm Ssaha Hai
    Sach Ka Ye Inaam Mila Hai

    Sachchi Baat Kahi Thi Maine
    Sab Se Behtar Kabhi Na Ban Na
    Jag Ke Rahbar Kabhi Na Ban Na
    Peer Payambar Kabhi Na Ban Na

    Chup Rah Kar Hi Waqt Guzaro
    Sach Kahnepe Jaan Mat Waro
    Kuch To Seekho Mujh Se Yaro

    Sachchi Baat Kahi Thi Maine

  1. Sheikh-ji-thodi Si Pee Kar Aaiye
    Mai Hai Kya Shai Phir Hamein Batlaieye

    Aap Kyon Hain Sari Duniya Se Juda
    Aap Bhi Dushman Merey Ban Jaaieye

    Kya Hai Achcha Kya Bura Banda Nawaz
    Aap Samjhen To Hamein Samjhaieye

    Jane Dijey Aqal Baatein Janab
    Dil Ki Suniye Aur Peete Jaieye

  1. Tum Ne Badle Hum Se Gin Gin Ke Liye
    Hum Ne Kya Chaha Tha Is Din Ke Liye

    Wasi Ka Din Aur Itna Mukhtasar
    Din Gine Jate The Is Din Ke Liye

    Who Nahin Sunte Hamari Kay Karen
    Mangte Hain Hum Dua Jin Ke Liye

    Chahne Walon Se Gar Matlab Nahin
    Aap Phir Paida Huey Kin Ke Liye

    Baghban Kaliyan Hon Halke Rang Ki
    Bhejani Hain Ek Kamsin Ke Liye 

  1. Jeeta Rahne Ki Saza De Zindagi Aey Zindagi
    Ab To Marne Ki Dua De Zindagi Aey Zindagi

    Main To Ab Ukta Gaya Hon Kya Yehi Hai Kayenaat
    Bas Ye Aiyeena Hata De Zindagi Aey Zindagi

    Dhoondne Nikla Ta Tujhko Aur Khud Ko Khodiya
    Ti Hi Ab Mera Pata De Zindagi Aey Zindagi

    Ya Mejhe Ahsaaas Ki Is Qaid Se Karde Riha
    Warna Deewana Bana De Zindagi Aey Zindagi 

  1. Zindagi Tu Ne Lahoo Le Ke Diya Kuchh Bhi Nahin
    Tere Daman Main Merey Waste Kya Kuchh Bhi Nahin

    Merey In Hathon Ki Chaho Totalashi Le Lo
    Merey Hathon Mein Lakeeron Ke Siwakuchh Bhi Nahin

    Hum Ne Dekha Hai Kaee Aise Khudaonko Yahan
    Samene Jin Ke Wo Sach Much Ka Khuda Kuchh Bhi Nahin

    Ya Khuda Ab Ke Yeh Kis Rang Mein Aee Hai Bahar
    Zard Hi Zard Hai Pedon Pe Hara Kuchh Bhi Nahin

    Dil Bhi Ek Zid Pe Ada Hai Kisi Bachche Ki Tarah
    Ya To Sab Kuchh Hi Isey Chahiye Ya Kuchh Bhi Nahin

No comments:

Post a Comment