Saturday, 15 December 2012

Arth

Album Name:
Arth
Release Year:
1982
Company:
HMV
Genre:
Film
Songs:
  • Jhuki Jhuki Si Nazar
  • Koi Yeh Kaise Bataye
  • Tere Khushboo Mein Base Khat
  • Too Nahin To Zindagi Mein Aur Kya Reah Jayega
  • Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho
Cover Page:





  1. Jhuki Jhuki Si Nazar Beqaraar Hai Ke Nahin
    Daba Daba Sa Sahee Dil Mein Pyaar Hai Ke Nahin

    Tu Apne Dil Ki Jawaan Dhadkanon Ko Gin Ke Bata
    Meri Tarah Tera Dil Beqaraar Hai Ke Nahin

    Wo Pal Ke Jis Mein Mohabbat Jawaan Hoti Hai
    Us Ek Pal Ka Tujhe Intezaar Hai Ke Nahin

    Teri Umeed Pe Thukraa Raha Hoon Duniya Ko
    Tujhe Bhee Apne Pe Ye Aitbaar Hai Ke Nahin

  1. Koi Ye Kaise Bataaye Ke Wo Tanha Kyoon Hai
    Wo Jo Apna Thaa Wahi Aur Kisi Ka Kyoon Hai
    Yahi Duniya Hai To Phir Aisee Ye Duniya Kyoon Hai
    Yahi Hota Hai To Aakhir Yahi Hota Kyoon Hai

    Ik Zara Haath Badha Den To Pakad Le Daaman
    Uske Seene Mein Sama Jaaye Hamari Dhadkan
    Itni Kurbat Hai To Phir Faaslaa Itna Kyoon Hai

    Dil-e-barbaad Se Nikla Nahin Ab Tak Koi
    Ik Loote Ghar Pe Diya Karta Hai Dastak Koi
    Aas Jo Toot Gayee Phir Se Bandhaata Kyoon Hai

    Tum Asarrat Ka Kaho Ya Ise Gham Ka Rishta
    Kehte Hain Pyaar Ka Rishta Hai Janam Ka Rishta
    Hai Janam Ka Jo Ye Rishta To Badalta Kyoon Hai

  1. Tere Khushbu Mein Basey Khat Main Jalaata Kaisey?
    Jinko Duniya Ki Nigahon Se Chupaaye Rakhaa,
    Jinko Ik Umr Kalejey Se Lagaaye Rakhaa,

    Jinka Har Lafz Mujhe Yaad Tha Pani Ki Tarah,
    Yaad They Mujhko Jo Paigaam-e-zubaani Ki Tarah,
    Mujh Ko Pyarey They Jo Anmol Nishaani Ki Tarah.

    Tuune Duniya Ki Nigahon Se Jo Bachakar Likhey,
    Saalahaa-saal Mere Naam Baraabar Likhey.
    Kabhi Din Mein Toh Kabhi Raat Mein Uthkar Likhey

    Tere Khushbu Mein Basey Khat Main Jalaata Kaisey?
    Pyar Mein Duubey Huye Khat Main Jalaata Kaisey?
    Tere Haathon Ke Likhey Khat Main Jalaata Kaisey?

    Tere Khat Aaj Main Ganga Mein Bahaa Aayaa Hoon,
    Aag Behetey Hue Paani Mein Lagaa Aayaa Hoon.

  1. Too Nahin To Zindagi Mein Aur Kya Reh Jaayega
    Door Tak Tanhaaeeyon Ka Silsila Reh Jaayega

    Dard Ki Saari Tahe Aur Saare Guzre Haadse
    Sab Dhooan Ho Jaayenge Ik Faakeya Reh Jaayega

    Yun Bhee Hoga Wo Mujhe Dil Se Bhula Dega Magar
    Ye Bhee Hoga Khud Usee Mein Ik Khala Reh Jaayega

    Daayre Inkaar Ke Iqraar Kee Sargoshiyaan
    Ye Agar Toote Kabhee To Faaslaa Reh Jaayega

  1. Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho
    Kya Gham Hai Jisko Chupaa Rahe Ho

    Aankhon Mein Namee Hansi Labon Par
    Kya Haal Hai Kya Dikhaa Rahe Ho

    Ban Jaayenge Zaher Peete Peete
    Ye Ashq Jo Peete Rahe Ho

    Jin Zakhmon Ko Waqt Bhar Chala Hai
    Tum Kyoon Unhe Chede Jaa Rahe Ho

    Rekhaaon Ka Khel Hai Muqqaddar
    Rekhaaon Se Maat Khaa Rahe Ho

No comments:

Post a Comment