Saturday, 1 December 2012

Cry for Cry


Album Name:Cry for Cry
Release Year:1995
Company:HMV
Genre:Non Film
Songs:

  • Aaj Ke Daur Mein
  • Ab Mein Rashan Ki Qataron Mein
  • Apne Chehare Se Jo Jhahir Hai
  • Kabhi Ansoo Kabhi Khushi
  • Lab Pe Aati Hai Dua Banke
  • Maa Sunao Mujhe Woh Kahani
  • Mujh Mein Jo Kuch Achchha Hai
  • Woh Rulakar Hans Na Paya Der Tak
Cover Page:
             Cry For Cry



  1. Aaj Ke Daur Mein Ae Dost Ye Manjhar Kyoon Hai,
    Zakhm Har Sar Pe Har Ik Haath Mein Paththar Kyoon Hai.

    Jab Haqeeqat Hai Ke Har Zarre Mein Tu Rehta Hai,
    Fir Zamin Par Kahin Masjid Kahin Mandir Kyoon Hai

    Apna Anjaam To Maaloom Hai Sabko Phir Bhi
    Apnee Nazron Mein Har Insaan Sikandar Kyoon Hai

    Zindagi Jeene Ke Qaabil Hi Nahin Ab "faakir"
    Warna Har Aankh Mein Ashkon Ka Samandar Kyoon Hai

  1. Ab Main Ration Ki Kataron Mein Nazar Aata Hoon
    Apne Kheton Se Bichchadne Ki Saza Paata Hoon

    Itnee Menhgaayee Ke Bazaar Se Kuch Laata Hoon
    Apne Bachchon Mein Us'se Baant Ke Sharmaata Hoon

    Apnee Neendo Ki Lahoo Pochne Ki Koshish Mein
    Jaagte Jaagte, Thak Jaata Hoon So Jaata Hoon

    Koi Chaadar Samajh Ke Kheench Na Le Fir Se "khaleel"
    Main Qafan Odh Kar Foot-paath Pe So Jaata Hoon


  1. Apne Chechre Se Jo Zaahir Hai Chupaayen Kaise
    Teri Marzi Ke Mutaabik Nazar Aayen Kaise

    Ghar Sajaane Ka Tasawwur Bahut Baad Ka Hai
    Pehle Ye Tay Ho Ke Is Ghar Ko Bachchayen Kaise

    Kar Kaha Aankh Ka Bartaav Badal Deta Hai
    Hansne Waale Tujhe Aansoo Nazar Aayen Kaise

    Koi Apnee Hi Nazar Se To Hume Dekhega
    Ek Qatre Ko Samandar Nazar Aayen Kaise

  1. Kabhi Aansoo Kabhi Khushi Bechi
    Hum Garibon Ne Bekasi Bechi

    Chand Saanse Khareedne Ke Liye
    Roz Thodi Si Zindagi Bechi

    Jab Rulaane Lage Mujhe Saayee
    Maine Uqta Ke Roshni Bechi

    Ek Hum The Ke Bik Gaye Khud Hi
    Warna Duniya Ne Dosthi Bechi

  1. Lab Pe Aati Hai Dua Banke Tamanna Meri
    Zindagi Shamma Ki Surat Ho Khuda Ya Meri

    Ho Mere Dum Se Yun Hi Mere Watan Ki Zeenat
    Jis Tarah Phool Se Hoti Hai Chaman Ki Zeenat

    Zindagi Ho Meri Parwaane Ki Surat Ya Rab
    Ilm Ki Shamma Se Ho Mujhko Mohabbat Ya Rab

    Ho Mera Kaam Garibon Ki Himaayat Karna
    Dard Mando Se Zaeefon Se Mohabbat Karna

    Mere Allaah Buraayee Se Bachchana Mujhko
    Nek Jo Raah Ho Uss Reh Pe Chalaana Mujhko

  1. Maa Sunao Mujhe Wo Kahani
    Jisme Raja Na Ho Na Ho Rani

    Jo Hamari Tumhari Katha Ho
    Jo Sabhi Ke Hriday Ki Gatha Ho
    Gandh Jisme Ho Apni Dhara Ki
    Baat Jisme Na Ho Apsara Ki
    Ho Na Pariyan Jahan Aasmaani

    Wo Kahani Ko Hasna Sikha De
    Pet Ki Bhookh Ko Bhi Mita De
    Jisme Sach Ki Bhari Chaandni Ho
    Jisme Um'meed Ki Roshni Ho
    Jisme Na Ho Kahani Puraani

  1. Mujh Mein Jo Kuch Achchha Hai Sab Uska Hai.
    Mera Jitna Charcha Hai Sab Uska Hai

    Uska Mera Rishta Bada Puraana Hai
    Maine Jo Kuch Socha Hai Sab Uska Hai

    Meree Aankhen Uski Noor Se Roshan Hai
    Maine Jo Kuch Dekha Hai Sab Uska Hai

    Maine Jo Kuch Khoya Tha Sab Uska Tha
    Maine Jo Kuch Paaya Hai Sab Uska Hai

    Jitnee Baar Main Toota Hoon Wo Toota Tha
    Idhar Udhar Jo Bikhra Hai Sab Uska Hai

    9.  Wo Rulakar Hans Na Paya Der Taq
         Jab Main Rokar Mushkuraaya Der Taq

         Bhoolna Chaaha Agar Usko Kabhi
         Aur Bhi Wo Yaad Aaya Der Taq

         Bhookhe Bachchon Ki Tasalli Ke Liye
         Maa Ne Phir Paani Pakaya Der Taq

        Gungunata Jaa Raha Tha Ik Fakeer
        Dhoop Rehti Hai Na Saaya Der Taq

No comments:

Post a Comment