Monday, 24 December 2012

Black Magic

Album Name:
Black Magic
Release Year:
1987
Company:
HMV
Genre:
Non Film
Songs:
  • Agar Hum Kahen Aur Who Muskraden
  • Hai Ikhtiar Mein Tere
  • Jab Bhi Tanhai Se Ghabra Ke
  • Jawani Ke Heelay Haya Ke Bahane
  • Mai Pilakar Aap Ka Kya Jayega
  • Patthar Ke Khuda
  • Yeh Bhi Kya Ehsaan Kam Hai
  • Yeh Kaya Jane Mein Jana Hai
Cover Page:






  1. Agar Hum Kahen Aur Wo Mushkura Dein,
    Hum Unke Liye Zindgaani Luta Dein

    Har Ik Mod Par Hum Gamon Ko Sazaa Dein,
    Chalo Zindagi Ko Mohabbat Bana Dein

    Agar Khud Ko Bhoole To Kuch Bhi Na Bhoole,
    Ke Chaahat Mein Unkee Khuda Ko Bhula Dein

    Kabhi Gam Kee Aandhee Jinhen Choo Na Paaye,
    Wafa Ke Hum Wo Nashe-man Bana Dein

    Qayaamat Ke Deewaane Kehte Hain Humse,
    Chalo Unke Chehre Se Parda Hata Dein

    Saza De Silaa De, Bana De Mitaa De,
    Magar Wo Koi Fiaslaa To Sunaa De

  1. Hai Ikhtiyaar Mein Tere To Mauj Sa Kar De,
    Wo Shakhs Mera Nahin Hai Usse Mera Kar De

    Mere Khizan Kahin Kahtm Hi Nahin Hota,
    Zara See Door Ro Rasta Hara Bhara Kar De

    Main Uske Shor Ko Dekhoon Wo Mera Sab,
    Mujhe Charag Bana De Usse Hawa Kar De

    Akeli Shaam Bahut Hi Udaas Karti Hai,
    Kisiko Bhej, Koi Mera Hum-nawa Kar De

  1. Jab Bhi Tanhaayee Se Ghabraake Simat Jaate Hain,
    Hum Teri Yaad Ke Daaman Se Lipat Jaate Hain

    Unpe Thoofan Ko Bhi Afsos Hua Karta Hai,
    Wo Safine Jo Kinaron Pe Ulat Jaate Hain

    Hum To Aaye The' Rahen Saakh Mein Phoolon Ki Tarah,
    Tum Agar Haar Samajhte Ho To Hat Jaate Hain

  1. Jawaani Ke Heele, Haya Ke Bahaane
    Ye Maana Ke Tum Mujhse Parda Karogi
    Ye Duniyan Magar Tujhsee Bholee Nahin Hai
    Chupaake Mohabbat Ko Ruswa Karogee

    Badi Koshishon Se, Badi Khwaahishon Se
    Tamanna Ke Sehmi Hui Saajishon Se
    Milega Jo Mauka To Be-chain Hokar
    Darichon Se Tum Mujhko Dekha Karogi

    Sataayegi Jab Chaandni Ki Udaasi
    Dukhaayegi Dil Jab Fizaa Ki Khamoshi
    Ufaq Ki Tarah Khaali Nazaren Jamaakar
    Kabhi Jo Na Socha Wo Socha Karogi

    Kabhi Dil Ki Dhadkan Mehsoos Hogi
    Kabhi Thandi Saason Ki Thoofaan Uthegi
    Kabhi Gir Ke Bishtar Pe Aahen Bharogi
    Kabhi Jhuk Ke Takiye Pe Roya Karogi

  1. Main Pilaakar Aapka Kya Jaayega
    Jaayega Eemaan Jiska Jaayega

    Dekhkar Mujhko Wo Sharmaa Jaayega
    Ye Tamaasha Kis-se Dekha Jaayega

    Jaaoon Buth-khaane Se Kyoon Kaabe Ko Main
    Haath Se Ye Bhi Thikaana Jaayega

    Qatl Ki Jab Usne Di Dhamki Mujhe
    Keh Diya Maine Bhi Dekha Jaayega

    Pee Bhi Le Do Ghoont Zaahid Pee Bhi Le
    Maiqade Se Kaun Pyaasa Jaayega

  1. Pathar Ke Khuda, Pathar Ke Sanam
    Pathar Ke Hi Insaan Paayen Hain
    Tum Sehre-e-mohabbat Kehte Ho
    Hum Jaan Bachcha-kar Aayen Hain

    But-khaana Samajhte Ho Jisko
    Puchcho Na Wahan Kyaa Haalat Hai
    Hum Log Wahin Se Laute Hain
    Bas Shukr Karo Laut Aaye Hain

    Hum Sonch Rahen Hain Muddat Se
    Ab Umr Guzaaren Bhi To Kahan
    Sehra Mein Khushi Ke Phool Nahin
    Shehron Mein Gamon Ke Saaye Hain

    Hothon Pe Tabassum Halqa Sa
    Aankhon Mein Nami Si A'e Faaqir
    Hum Aehle-e-mohabbat Par Aksar
    Aise Bhi Zamaane Aaye Hain

  1. Ye Bhi Kya Ehsaan Kam Hai Dekhiye Na Aap Ka
    Ho Raha Hai Har Taraf Charcha Humara Aap Ka

    Chaand Mein To Daag Hai Par Aape Mein Wo Bhi Nahin
    Chaudhwi Ke Chaand Se Badhke Hai Chechra Aap Ka

    Ishq Mein Aise Bhi Hum Doobe Huye Hain Aap-ke
    Apne Chechre Pe Sada Hota Hai Dhokha Aap Ka

    Chaand-suraj, Dhoop-subahah, Keh-kasha Taare-shama
    Har Ujaale Ne Churaaya Hai Ujaala Aap Ka

  1. Ye Kya Jaane Mein Jaana Hai, Jaate Ho Khafaa Hokar
    Main Jab Jaanoon, Mere Dil Se Chale-jaao Juda Hokar

    Qayaamat Taak Udegi Dil Se Uthkar Khaaq Aankhon Taq
    Isee Raste Gaya Hai Hasraton Ka Kaafila Hokar

    Tumhi Ab Dard-e-dil Ke Naam Se Ghabraaye Jaate Ho
    Tumhi To Dil Mein Shaayad Aaye The' Dard-e-aashiyan Hokar

    Yoonhi Hamdam Ghadi Bhar Ko Mila Karte Tho Behtar Tha
    Ke Dono Waqt Jaise Roz Milte Hain Juda Hokar

No comments:

Post a Comment