Monday, 10 December 2012

The Unforgettables

Album Name:
The Unforgettables
Release Year:
1976
Company:
HMV
Genre:
Non Film
Songs:
Cover Page:




  1. Aaye Hain Samjhaane Log
    Hain Kitne Deewane Log

    Dair-o-haram Mein Chain Jo Miltha
    Kyon Jaathe Maikhaane Log

    Jaan Ke Sab Kuch, Kuch Bhi Na Jaane
    Hain Kitne Anjaane Log

    Waqt Pe Kaam Nahin Aathe Hain
    Ye Jaane Pehchaane Log

    Ab Jab Mujh Ko Hosh Nahin Hain
    Aaye Hain Samjhaane Log

  1. Baat Nikalegee To Phir Duur Talak Jaayegee
    Log Bewajah Udaasee Kaa Sabab Poochhenge
    Ye Bhee Poochhenge Ke Tum Itnee Pareshaan Kyoon Ho
    Oongliyaan Uthengee Sookhe Huye Baalon Kee Taraf
    Ek Nazar Dekhenge Guzre Huye Saalon Kee Taraf
    Choodiyon Par Bhee Kai Tanz Kiye Jaayenge
    Kaanpate Haathon Pe Bhee Fikre Kase Jaayenge

    Log Zaalim Hain Har Ek Baat Kaa Taanaa Denge
    Baaton Baaton Mein Meraa Zikr Bhee Le Aayenge
    Unakee Baaton Kaa Zaraa Saa Bhee Asar Mat Lenaa
    Warnaa Chehre Ke Taasur Se Samajh Jaayenge
    Chaahe Kuchh Bhi Ho Sawaalaat Naa Karnaa Unse
    Mere Baare Mein Koi Baat Na Karnaa Unse
    Baat Nikalegii To Phir Door Talak Jaayegee

  1. Bahut Pehle Se Un Qadmon Ki Aahat Jaan Letey Hai
    Tujhe Ae Zindagi Hum Door Se Pehchaan Letey Hain

    Tabiyat Apni Ghabraati Hai Jab Sunsaan Raaton Mein
    Hum Aise Mein Teri Yaadon Ki Chaadar Taan Lete Hain

    Meri Nazren To Aise Qaafiron Ka Jaan-o-imaan Hai
    Nigaahen Milte Hi Jo Jaam Aur Imaan Lete Hain

    'firaq' Aksar Badal Kar Bhesh Milta Hai Koi Qaatil
    Kabhi Hum Jaan Lete Hian Kabhi Pehchaan Lete Hain

  1. Dard Badhkar Fughan Na Ho Jaaye
    Ye Zameen Aasmaan Na Ho Jaaye

    Dil Mein Dooba Hua Jo Nashtar Hai
    Mere Dil Ki Zubaan Na Ho Jaaye

    Dil Ko Le Leejiye Jo Lena Hai
    Fir Ye Sauda Garan Na Ho Jaaye

    Aah Kije Magar Latif Tabhi
    Lab Tak Aakar Dhuaan Na Ho Jaaye

  1. Dost Ban-banke Mile Mujhko Mitaane Waale
    Maine Dekhe Hain Kai Rang Badalane Waale

    Tumne Chup Rehkar Sitam Aur Bhee Dhaayaa Mujhpar
    Tumse Achchhe Hain Mere Haal Pe Hansne Waale

    Main To Ikhalaq Ke Hathon Hi Bika Kartaa Hoon
    Aur Honge Tere Baazar Mein Bikne Waale

    Akhree Daur Pe Salaam-e-dil-e-mustar Le Lo
    Phir Naa Lautenge Shab-e-hijr Pe Ronewaale

  1. Ek Na Ek Shamma Andhere Mein Jalaye Rakhiye
    Subah Hone Ko Hai Maahol Sajaaye Rakhiye

    Jinke Haathon Se Hume Zakm-e-neha Pahunchi Hai
    Wo Bhee Kehte Hain Ke Zakhmon Ko Chupaaye Rakhiye

    Kaun Jaane Ke Wo Kis Raah-guzar Se Guzre
    Har Guzar Raah Ko Phoolon Se Sajaaye Rakhiye

    Daaman-e-yaar Ki Zeenat Na Bane Har Ansoo
    Apni Palkon Ke Liye Kuch To Bachaaye Rakhiye

  1. Gham Badhe Aate Hai Qaatil Ki Nigahon Ki Tarah
    Tum Chupa Lo Mujhe Ae Dosth Gunaahon Ki Tarah

    Apni Nazaron Mein Gunehgaar Na Hote Kyoonkar
    Dil Hi Dushman Hai Mukhalif Ke Gawaahon Ki Tarah

    Har Taraf Zeest Ki Raahon Mein Kadi Dhoop Hai Dosth
    Bas Teri Yaad Ke Saaye Hain Panaahon Ki Tarah

    Jinke Khaatir Kabhi Ilzaam Uthaaye 'faakir'
    Wo Bhee Pesh Aaye Hain Insaaf Se Shaahon Ki Tarah

  1. Kisi Ranjish Ko Hawa Do Ke Main Zinda Hoon Abhi
    Mujhko Ehsaas Dila Do Ke Main Zinda Hoon Abhi

    Mere Rukne Se Meri Saanse Bhi Ruk Jaayengi
    Faasile Aur Badha Do Ke Main Zinda Hoon Abhi

    Zehar Peene Ki To Aadat Thi Zamaane Waalon
    Ab Koi Aur Dawa Do Ke Main Zinda Hoon Abhi

    Chalti Raahon Mein Yoonhi Aankh Lagi Hai 'faakir'
    Bheed Logon Ki Hata Do Ke Main Zinda Hoon Abhi

  1. Raat Bhi Neend Bhi Kahaani Bhee
    Haaye Kya Cheez Hai Jawaani Bhee

    Dil Ke Sholon Se Padti Hai Sehra
    Zindagi Aag Bhee Hai Paani Bhee

    Khark Kya Kya Mujhe Nahin Kehti
    Kuch Sunoon Main Teri Zubaani Bhee

    Paas Rehna Kisi Ka Raat Ki Raat
    Mehmaani Bhee Mezbaani Bhee

  1. Sarakti Jaaye Hain Rukh Se Naqaab Aahistaa-aahista
    Nikalta Aa Raha Hai Aaftaab Aahistaa-aahista

    Jawan Hone Lage Jab Wo To Humse Kar Liya Parda
    Hayaa Yakalakht Aaee Aur Shabaab Aahistaa-aahista

    Sab-e-furkat Ka Jaaga Hoon Paristhon Ab To Sone Do
    Kabhi Fursat Mein Kar Lena Hisaab Aahistaa-aahista

    Hamaare Aur Tumhaare Pyaar Mein Bas Farq Hai Itna
    Idhar To Jaldi Jaldi Hai Udhar Aahistaa-aahista

    Badi Bedardi Se Sar Kaate 'ameer' Aur Main Kahoon Unse
    Huzur Aahistaa Aahistaa Janaab Aahistaa-aahista


No comments:

Post a Comment