Monday, 24 December 2012

Ecstasies

Album Name:
Ecstasies
Release Year:
1984
Company:
HMV
Genre:
Non Film
Songs:
  • Bahut Dinon Ki Baat Hai
  • Humko Dushman Ki Nighaon Se
  • Jawan Hai Raat Saqiya Sharab La
  • Mere Jaise Ban Jaoge
  • Paseene Paseene Hue Ja Rahe Ho
  • Tumne Sooli Pe Latakte Jise Dekha Hoga
Cover Page:





  1. Bahut Dinon Kee Baat Hai
    Fizaa Ko Yaad Bhi Nahin
    Ye Baat Aaj Kee Nahin
    Bahut Dinon Kee Baat Hai

    Shabaab Par Bahaar Thee
    Fizaa Bhi Khush-gawaar Thee
    Naa Jaane Kyoon Machal Pada
    Main Apne Ghar Se Chal Pada
    Kisi Ne Mujhko Rok'kar
    Badi Adaa Se Tok'kar
    Kaha Tha Laut Aae'iye
    Meri Kasam Naa Jaai'iye

    Par Mujhe Khabar Na Thee
    Maahol Par Nazar Na Thee
    Naa Jaane Kyoon Machal Pada
    Main Apne Ghar Se Chal Pada
    Main Shehar Se Phir Aa Gaya
    Khayal Thaa Ke Paa Gaya
    Us'e Jo Mujhse Door Thee
    Magar Meri Zaroor Thee

    Aur Ik Hasin Shaam Ko
    Main Chal Pada Salaam Ko
    Gali Ka Rang Dekh'kar
    Nayee Tarang Dekh'kar
    Mujhe Badi Khushi Huyee
    Main Kuch Isi Khushee Mein Tha
    Kisi Ne Jhaank'kar Kaha
    Paraaye Ghar Se Jaai'iye
    Meri Kasma Na Aai'iye

    Wahi Haseen Shaam Hai
    Bahaar Jiska Naam Hai
    Chala Hoon Ghar Ko Chodkar
    Na Jaane Jaaoonga Kidhar
    Koi Nahin Jo Tok'kar
    Koi Nahin Jo Rok'kar
    Kahe Ke Laut Aai'iye
    Meri Kasam Na Jaai'iye

  1. Humko Dushman Kee Nigahon Se Na Dekha Keeje
    Pyaar Hi Pyaar Hain Hum Humpe Bharosa Keeje

    Chand Yaadon Ke Siwa Haath Na Kuch Aayega
    Is Tarah Umr-e-gureza Ka Na Peecha Keeje

    Roshni Auron Ke Aangan Mein Gawara Na Sahee
    Kam Se Kam Apne Ghar Mein To Ujaala Keeje

    Kya Khabr Kab Wo Chale Aayenge Milne Ke Liye
    Roz Palkon Pe Nayee Shamme Jalaya Keeje

  1. Jawan Hai Raat Sakiya Sharaab La Sharaab La
    Zara Si Pyaas To Bujha Sharaab La Sharaab La

    Tere Shabab Par Sada Karam Rahe Bahaar Ka
    Tujhe Lage Meri Dua Sharaab La Sharaab La

    Yahan Koi Na Jee Saka Na Jee Sakega Hosh Mein
    Mitaa De Naam Hosh Ka Sharaab La Sharaab La

    Tera Bada Hi Shukriya Pilaaye Ja Pilaaye Ja
    Na Zikr Kar Hisaab Ka Sharaab La Sharaab La

  1. Mere Jaise Ban Jaoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega
    Diwaron Se Takraaoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega

    Har Baat Gawaara Kar Loge Mannat Bhi Ukara Loge
    Tabeejen Bhi Bandhwaaoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega

    Tanhaayee Ke Jhoole Jhoologe Har Baat Puraani Bhoologe
    Aayine Se Ghabraoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega

    Jab Sooraj Bhi Kho Jaayega Aur Chaand Kahin So Jaayega
    Tum Bhi Ghar Der Se Aaoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega

    Bechaini Jab Badh Jaayegi Aur Yaad Kisi Ki Aayegi
    Tum Meri Ghazalen Gaoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega

  1. Paseene Paseene Huye Jaa Rahe Ho
    Ye Bolo Kahan Se Chale Aa Rahe Ho

    Hamen Sabr Karne Ko Keh To Rahe Ho
    Magar Dekh Lo Khud Hi Ghabraa Rahe Ho

    Ye Kiskee Buri Tumko Nazar Lag Gayee Hai
    Baharon Ke Mausam Mein Murjha Rahe Ho

    Ye Aaina Hai Ye To Sach Hi Kahega
    Kyon Apni Haqeeqat Se Katraa Rahe Ho

  1. Tumne Sooli Pe Latakte Jise Dekha Hoga
    Waqt Aayega Wahi Shaksh Maseeha Hoga

    Khwaab Dekha Thaa Ke Sehra Mein Basera Hoga
    Kyaa Khabar Thi Ke Yahi Khwaab To Sachcha Hoga

    Main Fizaaon Mein Bikhar Jaaoonga Khushboo Bankar
    Rang Hoga Na Badan Hoga Na Chehra Hoga

1 comment: