Monday, 24 December 2012

Desires

Album Name:
Desires
Release Year:
1989
Company:
Weston
Genre:
Non Film
Songs:
  • Abke Baras Bhi Woh
  • Baat Saqi Ki Na Tali
  • Din Aa Gaye Shabab Ke
  • Gulshan Ki Faqat Phoolon Se
  • Jab Naam Tera Payar Se
  • Kanton Ki Chuban Payee
  • Shamme Mazar Thi
  • Ulfat Ka Jab Kisi Ne Liya Naam
  • Yeh Kaisi Mohabbat
Cover Page:





  1. Ab Kii Baras Bhii Vo Nahii.n Aayaa Bahaar Me.n
    Guzaregaa Aur Ek Baras Intazaar Me.n


    Ye Aag Ishq Kii Hai Bujhaane Se Kyaa Bujhe
    Dil Tere Bas Me.n Hai Na Mere Ikhtiyaar Me.n


    Hai Tuute Dil Me.n Terii Mohabbat Teraa Khayaal
    Khush-ra.ng Hai Bahaar Jo Guzarii Bahaar Me.n


    Aa.nsuu Nahii.n Hai Aa.nkho.n Me.n Lekin Tere Bagair
    Vo Kaa.npate Huye Hai.n Dil-e-beqaraar Me.n

  1. Baat Saaqi Ki Na Taali Jaayegi
    Karke Tauba Tod Daali Jaayegi

    Dekh Lena Wo Na Khaali Jaayegi
    Aah Jo Dil Se Nikaali Jaayegi

    Gar Yahi Tarz-e-fugan Hai Andali
    To Bhi Gulshan Se Nikaali Jaayegi

    Aate Aate Aayega Unko Khayaal
    Jaate Jaate Bekhayali Jaayegi

    Kyoon Nahin Milti Gale Se Tegh-e-naaz
    Id Kya Ab Ke Bhi Khaali Jaayegi

  1. Din Aa Gaye Sabaab Ke Aanchal Sambhaaliye
    Hone Lagi Hai Shehar Mein Halchal Sambhaaliye

    Chaliye Sambhal Sambhal Ke Kathin Rah-e-ishq Hai
    Naazuk Badi Hai Aapki Paayal Sambhaaliye

    Saj Dhaj Ke Aap Nikle Sare Raah Khair Ho
    Takra Na Jaaye Aapka Paagal Sambhaaliye

    Ghar Se Naa Jaao Door Kisi Ajnabi Ke Saath
    Barsenge Jor-jor Se Baadal Sambhaaliye

  1. Gulshan Ki Faqat Phoolon Se Nahin Kaaton Se Bhi Zeenat Hoti Hai
    Jeene Ke Liye Is Duniya Mein Gham Ki Bhi Zaroorat Hoti Hai

    Ae Waaiz-e-naadan Karta Hai Tu Ek Qayamat Ka Charcha
    Yahan Roz Nigahen Milti Hain Yahan Roz Qayamat Hoti Hai

    Wo Pursish-e-gham Ko Ayae Hain Kuch Keh Na Sakoon Chup Reh Na Sakoon
    Khaamosh Rahoon To Mushkil Hai Keh Doon To Shikaayat Hoti Hai

    Karna Hi Padega Jabt-e-alam Peene Hi Padenge Ye Aansoo
    Fariyad-o-fugaan Se Ae Naadaan Tauheen-e-mohabbat Hoti Hai

    Jo Aake Ruke Daamal Pe Saba Wo Ashq Nahin Hai Paani Hai
    Jo Ashq Na Chalke Aankhon Se Us Ashq Ki Keemat Hoti Hai

  1. Jab Tera Naam Pyaar Se Likhti Hain Oongliyan
    Meri Taraf Zamaane Ki Uththi Hain Oongliyan

    Daaman Sanam Ka Haath Mein Aaya Tha Ek Pal
    Din Raat Uss Ek Pal Se Mehakthi Hain Oongliyan

    Jab Se Door Ho Gaye Ho Uss Din Se Hee Sanam
    Bas Din Tumhare Aane Ke Ginti Hain Oongliyan

    Patthar Taraash Kar Naa Bana Taj Ek Naya
    Fankaar Ke Zamaane Mein Katthi Hain Oongliyan

  1. Kaanton Ki Chubhan Paayee Phoolon Ka Maza Bhi
    Dil Dard Ke Mausam Mein Roya Bhi Hasa Bhi

    Aane Ka Sabab Yaad Na Jaane Ki Khabar Hai
    Wo Dil Mein Raha Aur Use Tod Gaya Bhi

    Har Ek Se Manzil Ka Pata Pooch Raha Hai
    Gumraah Mere Saath Hua Raahnuma Bhi

    'gumnaam' Kabhi Apno Se Jo Gam Huye Haasil
    Kuch Yaad Rahe Unme To Kuch Bhool Gaya Bhi

  1. Shamme Mazaar Thee Na Koi Sogwaar Tha
    Tum Jis Pe Ro Rahe The Wo Kiska Mazaar Thaa

    Tadpoonga Umr Bhar Dil-e-marhoom Ke Liye
    Kambakht Naamuraad Ladakpan Ka Yaar Thaa

    Jaadoo Hai Ya Tilism Tumhari Jubaan Mein
    Tum Jhoot Keh Rahe The Mujhe Aetbaar Thaa

    Kya Kya Hamari Sazde Kee Ruswaaeeyan Huyeen
    Nakshe-kadam Kisi Ka Sare Rehguzaar Thaa

  1. Ulfat Ka Jab Kisi Ne Liya Naam Ro Pade
    Apni Wafa Ka Soch Ke Anjaam Ro Pade

    Har Shaam Ye Sawaal Mohabbat Se Kya Mila
    Har Shaam Ye Jawwab Ke Har Shaam Ro Pade

    Raah-e-wafa Mein Humko Khushi Ki Talaash Thee
    Do Gaam Hi Chale The Ke Har Gaam Ro Pade

    Rona Naseeb Mein Hai To Auron Se Kya Gila
    Apne Hi Sar Liya Koi Ilzaam Ro Pade

  1. Ye Kaisi Mohabbat Kahan Ke Fasaane
    Ye Peene Pilaane Ke Sab Hain Bahaane

    Wo Daaman Ho Unka Ke Sun-saan Sehra
    Bas Humko To Aakhir Hain Aansoo Bahaane

    Ye Kisne Mujhe Masth Nazron Se Dekha
    Lage Khud-ba-khud Hi Kadam Lad-khadaane

    Chalo Tum Bhi 'gumnaam' Ab Maikade Mein
    Tumhe Dafn Karne Hain Kai Gham Puraane

No comments:

Post a Comment